Top 7 tarike Facebook account hack hone se kaise bachayein ???

Agar aap facebook ke regular user hain to aapke liye facebook account ki safety bahut mayne rakhti hai, Internet ke uses badhne ke sath -sath hacking bhi badhti jaa rahi hai agar aap facebook ke regular user hain to aapka account hack hone ke chances badh jate hain lekin aaj me aapko facebook hack hone se bachane ka tarika bataunga jisse aap apna accorunt safe rakh sakte hain.

Hacking aaj itni aaghe badh chuki hai ki lagbhag 6 lakh facebook account per month hack ho jate hain lekin aapko isse bachne ka tarika is post ke madhyam se batane ja raha hoon aap ye tips follow karke apne facebook account ko hack hone se bacha sakte hain.

Facebook account ko safe kaise karein hacking se ???

Facebook ka account kaise hack hone se bachaye ye me bataunga lekin meri ek request hai ki koi bhi facebook hack karne ke baare me mat puchiye.

Net se ghar bethe paisa kamane ka sabse asaan tarika.
Android Phone ko update kaise karein ??

1# keep me logged in me click na karein :-

                            keep me logged in me click na karein.

Jab bhi aap facebook me apna account login karte hain to ek baat yaad rakhein ki jab bhi aap kisi dusre ke computer ya mobile se login karte hain to keep me logged in option me click na karein, aap sirf ise apne personal computer ya mobile me hi use karein jisse ye fastly open ho jaega. Jab bhi aap kisi net cafe me jaye to ye galti na karein kyuki 40% log ye galti jarur karte hain, isse aapka account hack hone ke chances jayada hain.

2# Facebook password strong rakhein :-

Jab bhi aap apna password change karein to ek strong password select kijiye bahut se log password me apna name ya mobile number rakhte hain lekin ye unsafe hai
2 ya 3 words ko mix karke password banaiye to aacha hoga jaise ki aapki koi favorite cheez ke shuruvaat ka word, aap chahe to special characters jaise ki @#$%^&* ye sab bhi use kijiye apne password me aur sath hi aap agar apne password me koi number use karte hain to ye bhi ek aachi technique hai strong password chunne ka, To ab aap samajh gaye honge ki strong password se account ko safe kaise rakh sakte hain.

3# Enable login Alert :-

                             Enable login alerts

Aap facebook ki settings>>security me ja ke logging alert ko enable kijiye isse agar kahin se bhi aapka account login hoga to aapke Email par message aaega aur agar aapne mobile number dala hai to mobile par bhi message aaega. Facebook ne ye saari suvidha account hack hone se bachane ke liye di hui hai par hame is baat ka pata nahi hota hai.

4# Block Fake Id User :-

Aap sabhi jante honge ki lagbhag har account me 5% min log fake account use karte hain aur unmese kuch ye hacking ke liye bhi karte hain, agar aapko lagta hai ki ye account fake hai to us user ko block kijiye kyuki ho sakta hai vahi user aapka account hack karne ki koshish kare.
Aap kisi bhi unknown friend request ko accept na karein to sbehtar hoga isse aapka account bahut jayada safe rahega.

Blogger mein template kaise change karein ??
Blogger mein custom domain kaise add karein ??

5# Add Mobile Number:-

Aap apne account me mobile number jarur add karien isse jab bhi kuch bhi post,facebook login hoga to aap uski kahabar rakh sakte hain isse aapka account 90% safe ho jayega. Aap settings>> Mobile ke option me jaa kar mobile number enter kar sate hain. Lekin Koi sahi number hi enter karein kyuki 2nd step me aapko apna mobile number verify karna hoga agar aapne galat number dala to shayad aapka mobile number verify na ho paye, isliye active number enter kijiye.

6# Computer mein anti virus Install Karein:-

                       Install antivirus on computer and laptop
Agar aapke computer mein antivirus hoga to ye virus s to protection deta hi hai sath hi sath aaj kal aise virus bhi aa gaaye hain  jo aapke compuuter se sari information chori kar sakte hain to aapko ab pata chal gaya hoga ki antivirus Computer ke liye kitna important hai, isse aapka computer fully safe rahega aur aap nischint reh sakte hain.

7# Secure Email Id also:-

Aapne jis Email id se facebook me account banaya hai use bhi secure rakhein, 1 strong password select kijiye apne Email id ke liye.

Agar aapke paas email id nahi ai to ye post padhiye:-
Email id kaise banate hain ??

Apne Email id ko share na karne ki koshish karein security option me ise only me me rakhein isse aapke account ki security aur bhi jayada badh jayegi.

Agar aapko ye jankari aachi lagi hai to ise apne facebook friend se share jarur kijiye aur sath hi sath agar aapko koi aur tips bhi pata ho to vo bhi aap comment box me type karke bata sakte hain, isse sabhi facebook users ki help ho jayegi.
Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us