Adsense se paisa kaise kamayein ??

Hello friends mene apne pichli post me bataya tha ki kaise ham blog bana ke paisa kama sakte hai. Aap ye to jante honge ki ham adsense se apne blog me ads(advertisement) laga ke paise kama sakte hain. Agar aap nahi jante to koi baat nahi aaj me ye post adsense ke topic pe likh raha hoon. Adsense se related saari problem aapki dur ho jayegi jab aap ye post padhenge.

Adsense kya hai ??

Agar aap ek naye blogger hain to aapke man me ye sawal jarur aata hoga ki adsense kya hota hai. Adsense ek Google ki service hai ya ham keh sakte hain ki ye ek advertisement network hai jo apne advertisement ke per click ke hisaab se paisa deti hai, Jiske jariye ham apne blog me ads laga ke paisa kama sakte hain. Kyuki ye google ki hi ek service hai to ye ek safe network hai to ham isme aankh band karke bharosa kar sakte hain.

Website(Blog) banane ke liye ye post padhiye:-
Website(blog) kaise banate hain ??

Adsense aapko apne blog me advertisement lagane ke liye ek code deta hai jisko aap apne blog me kisi bhi jagah Html Java script gadget me paste karenge to aapke blog me ads dikhne shuru ho jayenge. Aur jab koi visitor aapke blog me jo ads hai unpar click karta hai to isse aapko earning hota hai.

Net se ghar bethe paisa kamane ka sabse aasan tarika..
Android phone ko kaise update karein ???

Note:- Jab bhi koi aapke ads me click karta hai tabhi aapko earning hoti hai..

Adsense kyun Best hai ???

Aap adsense ke alawa aur bhi bahut sari safe advertising network hai jiske madad se aap apne blog me advertisement show kar sakte hain jaise ki:-
1#  Infolinks
2# Bidvertiser
3# Chitika
4# Revenue hits

Ye saare advertisement network aache hai agar aapka adsense approve na ho to aap inse ads leke apne blog me laga sakte hain aur aachi kamayi bhi kar sakte hain. Lekin me aapko bata dun ki adsense kyu behtar hai
Adsense isliye behtar hai kyuki adsense per click ke aapko 0.10$ - 0.20$ tak deta hai jisse aapki aachi khasi income ho jati hai.
Agar maan lo ki aapko min 0.10$ per click ke hisaab se agar 100 log bhi aapke ads click karte hain to aapko per day 10$ ki kamayi hoti hai matlab approx 300$ per month ki kamayi ho sakti hai isliye adsense ko mai behtar manta hoon.

Adsense account block hone ka karan :-


Aise bahut se blogger hain jo apna adsense account approve to kara lete hai lekin unke blog me kam traffic hone ke karan vo udaas ho jate hai, aur khud hi ads me click karna shuru kar dete hain sath hi sath apne  friends ko bhi ads me click karne ko bolte hain, isse unka adsense block ho jata hai.

Yaad rakhiye ki google adsense hamari saari gatividhi me najar rakhta hai agar aap apne hi ads ko baar baar click karenge aur kisi ko bolenge ki ads par click karne to 100% aapka adsense account block hone ke chances hai. Aksar unka adsense block hota hai jo paisa kamane ke liye blogging karte hain, lekin me ye kehna chahunga ki aap apne traffic ko badhane ke baare me sochein na ki paisa kamane ke baare me, kyunki agar blog ki traffic badh jayegi to obvious aap paisa kama sakte hain. To hamesha apne blog ki traffic badhane ke baare me sochein na ki paise kamane ke baare me. Ab to aap samajh hi gaye honge ki adsense block kyu hota hai.

Adsense account banane ke liye kya chahiye ??

Adsense account banane ke liye in chijo ki jarurat padti hai :-
1# Gmail Id
2# Website/blog

Agar aapke paas gmail id nahi hai to aap ye post padhiye
 Gmail id kaise banate hain ???
Website(blog) banane ke liye ye post padhiye
Website(blog) kaise banate hain ??
Blog me custom domain add karne ke liye ye post padhiye :-
Blogger mein custom domain kaise add karein ???

Agar aapke paas Gmail id aur Website(blog) hai to aap ready hain adsense se paisa kamane ke liye. Adsense ke rule bahut sakht hai kyunki ye google ki service hai, Adsense me apply karne se pehle aap apne blog me min 10 - 20 aache post jarur daliye uske baad hi apply kijiye. Apne blog me Privacy policy page, About us page, Contact us page bhi daliye isse adsense ko aapke blog me bharosa rahega aur aapka account jaldi approve hojayega. Vaise bhi bahut se spam site hain jo paisa kamane ka sapna dikhate hain un spam sites ke karan adsense ne apna rule sakht rakha hai kyunki google adsense nahi chahta ki kisi bhi spam site ko vo paisa de, isiliye apne blog me kisi bhi prakar ka galat content naa dalein isse apka adsense approve bilkul nahi hoga.

Ab to aap samajh chuke honge ki adsense kya hai or isse related saari information bhi aapke paas aa chuki hai to bas aaap aacha content post kijiye. Use Facebook, Twitter, Google plus me share kijiye aur apne visitors badjaiye. Jaise jaise aapke visitors badhte jayenge aap dekhenge ki aapki earning bhi badhti jayegi, bas thoda patience rakhiye, apne upar bharosa rakhiye aur mehnat kijiye aap jarur successful blogger ban jayenge or adsense se acchi income kar payenge.

Friends aapko ye jankari kaisi lagi ye hame comment ke jariye bhi jarur bataiye, aap chahe to isse share bhi kar sakte hain. Aur agar aapka is post se related koi bhi problem hai to vo bhi aap niche diye hue comment box ke jariye puch sakte hain.

Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us