Facebook, Twitter, bina internet use karne ka tarika.

Hello friends aaj kal social networking sites facebook, twitter ka use kitna  badhta jaa rah hai aap sab jante hi honge. Aaj 90% internet user Social networking ka istemal jarur karte hai. Aaj me aapko bina internet facebook, Twiter chalanae ka tarika batanne ja raha hun.

How to use facebook and twitter with out internet (in hindi)

 Aap bina internet ke social sites jaise ki facebook, twitter jaise sites use kar sakte hain, Aisa aap sirf apne mobile phone se  1 message bhej ke kar sakte hain. Aap apne mobile phone ka istemal karke facebook aur twitter bina inetrnet ke istemal kar sakte hain.

Facebook hack hone se bachane ke liye ye post padhiye :
Top 7 tarike facebook hack hone se bachane ke.

Facebook bina internet ke kaise use karein ???

Aap kuch steps follow karke bina internet social media ke notification le sakte hain :-

Step 1# 
Sabse pehle facebook ke settings me jaiye, jahan general security aur priivacy ka option hain vahan par click kijiye. Uske baad aapko mobile ka option dikh raha hoga usme click kijiye jahan par aapko apna phone number jodne ka option aayega.

How to add mobile number in facebook??

Valentine's day se related sari information sath hi sath Sms and quotes ke liye click below :-

Yahan par aap apna mobile number daliye aur submit me click kar dijiye. Iske baad facebook aapke mobile me confirmation code send karega is code ko aapko enter karna hai or verify karna hai apna mobile verify karte hi aapka mobile facebook me link ho jayega. Uske baad aap settings>>notification ke option me jayein.

Step 2#
Yahan aap ape man se koi bhi option select kar lijiye apni suvidha ke anusaar aur save changes ki button par click kar dijiye ab aapko facebook ke saare notification bina internet ke aapke mobile me message ki help se aane lagenge. Aap iske jariye facebook me ofline rehkar bhi apna status update kar sakte hain jisse aapka mobile data bachega. Yaad rakhiye ye suvidha unhi ko milegi jinhone apna mobile number facebook se connect kiya hua hai. Agar aapko apna  status update karna hai to aapko 9232232665 is number par Sms bhejna hota hai jisse ki aapka status update ho jata hai, vo bhi bina internet ka use kiye.

Twitter bina internet ke kaise use karein??


Facebook ki tarah aap twitter me bhi bina internet on kiye jaan sakte hain ki kis - kis ne tweet kiya hai ya aapko direct message bheja hai. Aap isme bina internet offline message bhi kar sakte hain. Twitter ko bina internet ke use karne ke liye ye saare tips follow kijiye :-

Step 1# 
Iske liye bhi aapko facebbook ki tarah apna mobile number twitter se link karna padega tabhi aap iski offline suvidha ka labh utha sakte hain. Sabse pehle twitter ke settings me jayein. Ab aapke saamne 1 naya page khulega usme bich me aapko mobile setting ka option diya hoga usme click kijiye. Usme aapko apna mobile number enter karna hoga.

How to add mobile number in twitter ??

Step2#
 Mobile number link karne ke baad aapko niche kuch option dikh raha hoga twitter alert, announcement form twitter aur follow recommendation jaisa  aap usme click karke save kar dijiye.

Email id kaise banate hain ??
Blogger mein custom domain kaise add karein ??

Isme aapko twitter ke saare notification jaise ki aapko kisne follow kiya hua hai sath hi sath aapka tweet kis - kis ne like kiya hai aapko uska message aata rahega. Agar aapko koi bhi text message bhejna hai twitter me to aap apne registered mobile number hjo ki aapne twitter me link kiya hai usse aap 9248948837 is number par message kar dijiye aapka message twitter me dikhne lagega. Ye twitter ka number hai jo sirf India me hi kaam karta hai.

Ab aap samajh chuke honge ki kis tarah ham bina internet ke facebook aur twitter ka istemal apne mobile phone se hi kar sakte hain.

Aapko ye jankari kaisi lagi ye niche comment kar ke jarur batayein. Aap ise share bhi kar sakte hain niche diye hue sharing button ki madad se, Aur agar aapka is post se related koi bhi sawal hai to comment kar kr jarur bataiye aapke sawal ka jawab aapko jarur milega.
Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us