Internet Se Paise Kaise Kamaye (in Hindi) ?

Hello friends aajkal internet ka istemal kitna badh gaya hai aaap sab jante hi honge. Aaj har ek kaam internet se hi horaha hai chahe vo mobile recharge karna ho online shopping karna ho ya aur kuch agar aisa hi raha to kuch ssal me saare kaam internet se ghar bethe hi hite rahenge.


Internet Se Paise Kaise Kamaye

Internet aapka saara kaam easy kar deta hai aap iske jariye paise bhi kama sakte hain, Vaise to internet se paisa kamane ke bahut se tarike hain lekin aaj me aapko sabse aasan tarika batane jaa raha hoon.

Vaise to internet me bahut se farji sites hain jo aapke sath dhoka kar sakti hain isliye savdhaan rahiye. Net se paise kamane ki koi limit nahi hai isme aap jitna mehnat karenge utne paise aapko milenge.

Read also : Online Captcha TYping se paise kaise kamaye

Net se paisa kamane ke liye kya chahiye ?

Internet se paisa kamane ke liye aapko in chijo ki jarurat padegi :-
1# Basic Computer ka gyan. (Basic Knowledge of Computer)
2# Internet Connection
3# Email Id

Shuruvaat kaise karein  ???

Agar aap internet se ghar bethe paisa kamana chahte hain to mai aapko ek best idea suggest karta hoon jisme aapko koi bhi investment nahi karna hai bas man laga ke agar aap kam karenege to aapko success jarur milega.
Mai aapko aisa tarika baataunga jisse aap apne intrest ka kaam karke ghar bethe paisa kama sakte hain. Agar uppar diye hue chije aapke paas hai to aap paise kamane ke liye tayyar hain.

1. Email Id :

Sab se pehle aapko apni ek Email Id banani hogi. Aap kisi bhi website me jakar Email id bana sakte hain jo free Email service provide karti ho. Gmail, yahoo, Hotmail, outlook ye saari website aapko free me Email service provide karti hain. In me se aap kisi bhi website me jakar Email id bana sakte hain. Me aapko Gmail use karne ko kahunga kyunki ye best email service hai. Gmail aapko website banane me help karta hai jisse ki ham paise kamane wale hain. Email id kaise banayein ??


Ye sab kuch topics hain jisme bhi aapka interest hai use aap choose kar lijiye jaruri nahi hai ki maine jo topic upar likhi hai vohi topic, aap koi bhi topic select kar lijiye apne interest ke hisaab se, phir me aapko bataunga ki aap apne interest ke hisaab se kaise paisa kama sakte ho.
Agar aapko apna topic chunne me confusion hai to aap apne family members se salah le sakte ho ki kaun se topic me aapko jayada interest hai.

2. Ek Website chahiye :

Net se paisa kamane ke liye aapko ek website ki jarurat hogi. Chinta mat kijiye aapko website banane me koi kharcha nahi aayega or na hi iske liye aapko bahut jayada mehnat karni hai.
Free me Website banane ke liye aap www.blogger.com ki help le sakte hain. Isme aapko apne Gmail Id se Register karna hai or aap apni khud ki website bana sakte hain
Blogger se free me website banane ki jankari yahan hai Website kaise banaye.

Jab aap internet par apni website/blog bana lein to aapko usme apne interest anusaar post karna hai jaise ki maine bataya. For Ex :- Agar aap ne apna topic chuna cooking to aap usme cooking se related saari information daliye, Sare recipies daliye jisse sari duniya tak aapki recipies pahunch jaye.
Niche maine kuch topics diye hain jiske baare me aapko apne website me post karna hai.
"Agar aap chahe to website banane me mai aapki help kar dunga or uske liye koi charge bhi nahi lagega. Lekin iske liye aapko mujhse contact karna hoga Aap chahe to Contact us page  ki help se mujhse contact kar sakte hain Email - nayaknitesh02@gmail.com"
Sabse pehle aap apne dil ki baat suniye ki aapko kaun si cheej me sabse jayada interest hai, ya passion hai. Jaise ki :-

  1. Cooking 
  2. singing 
  3. Dancing
  4. story writing
  5. kavita
  6. Book writting

Jab aap apne manpasand topic ko chun le to uske baad aapko us topic ke baare me apne website me jaankari dalna hoga. Jisse aapke website ke द्वारा log us jankari ko प्राप्त kar sake. Aapko isme 2-3 din ka samay lag sakta hai uske baad aap bilkul ready honge paise kamane ke liye

Website se paisa kaise kamayein ?

Ab baat aati hai ki apne website/blog se paisa kaise kamayein uske liye aapko advertisement विज्ञापन  ka istemal karna hoga. Jaisa ki aap jaante hain Newspaper, Television me bahut se advertisement aate hain. Isi tarah aap bhi apne website me advertisement laga kar paise kama sakte hain. Jab bhi koi aapke website me aakar us advertisement me click karta hai to aapko iske paise milte hain vo bhi dollars me, lekin iske liye aapko advertisement apne blog me lagana hoga.

Ab baat aati hai ki website me advertisement kaha se lagaye. Website me advertisement lagane ke liye aap in sab website ka istemal kar sakte hain
1: Bidvertiser
2: Chitika
3: Infolinks
4: Revenue Hits

Bidvertiser se paisa kaise kamaye
Ye sabhi website aapko apne website me advertisement lagane ke liye ads विज्ञापन dete hain. Jaisa ki aap dekh paa rahe hain maine bhi apni website me ads lagaya hua hai. Isi tarah aap bhi apne website me advertisement laga sakte hain. Jab bhi aapke website me koi aakar in ads me click karta hai to aapko iske dollars me paise milte hain.

 Jab bhi koi aapke website mein lagaye gaye ads mein click karta hai aapko lagbhag 0.5$ - 0.10 $ tak ka commision milta hai matlab ki agar aapke website me agar 1000 log aate hai  1000 me se agar 5% matlab ki 50 log bhi ads mein click karte hain to aapko per day 50*0.5 ke hisaab se 5$ tak ki kamayi 1din me internet se ho jaegi iska matlab mahine me aapki 150$ ya usse bhi jayada ki kamayi ho sakti hai. Sab se badi baat aapki income dollar me hogi agar 150$ ko ham INR me convert karte hain to aapko per month 150x60 = 9000 ki ya usse bhi jayada ki kamayi ho sakti hai.
Blog Post ko jaldi search engine me kaise laye
Yaad rakhiye doston aapki puri income aapke blog me aane wale logon se hi hogi. Aap net se ghar bethe lakhon rupaye mahine me kama sakte hain.

Hostgator affiliate program se paise kaise kamaye
Adsense 2-3 din me approve kaise kare

Lekin doston ek baat ka dhyaan rakhiye ki koi bhi aisi post apne website me mat daliye jisse jisse dusro ko pareshani ho isse aapka aap advertisement comp. ka vishvas tut sakta hai.
To chinta mat kijiye aap bhi 2-4 Month me 100-200$ tak permonth kama payenge.

Kamna karta hu ki aapko samajh aa gaya hoga ki internet se paise kaise kamate hain. Agar aapko ye jankari aachi lagi to ise share karna na bhoole.

Agar aapka kisi bhi prakar ka sawal hai is post se ralated to use niche diye hue comment box ke madhyam se jarur puchein aapke saare sawalon ka jawab aapko jarur mil jayenge.


Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

2 comments:

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us