On Page SEO and Off page SEO se Blog ki traffic badhayein..

Jaisa ki main aapko apne har post me batata hu ki blogger platform ek bahut hi badhiya platform hai kyunki SEO ki saari optimization ham blogger me bahut hi aache se kar sakte hain, or sabse aachi bat to ye hai ki blogger platform bilkul free hai.

On page and Off page SEO Optimization

Blogger hame free me unlimited hosting provide karta hai or iska server bahut jayada strong hai to kabhi bhi aapka site slow nahi hota hai.

Agar aap Website (blog) banana chahte hain to ye post padhiye -Website(blog) kaise banate hain??

Isliye aaj me aapko On page and off page SEO optimization se blog traffic kaise increase karein uski tips dunga jisse aap apne blog me SEO optimization karke apna blog search engine me la sakenge aur sath hi sath aapko isse bahut jayada traffic milega.

SEO kya hai??

SEO tips janne se pehle seo kya hai iske baare me janna bhi bahut jayada jaruri hai. SEO ke baare me vistaar se bataun to SEO ka matlab hota hai Search Engine Optimization matlab ki jab bhi aap apne blog ko seo optimized rakhenge to aapka blog search me sabse pehle aayega.

Blogger me template kaise change karte hain ??
Blogger me custom domain kaise add karein ??

SEO optimization har ek blog ke liye bahut jaruri hai kyunki har ek blogger apne visitors ke liye blog banata hai agar uske blog me visitors nahi aayenge to blogging karne ka koi matlab nahi hai, isliye SEO optimization important hai kyunki agar aapka blog SEO optimized rahega to aapke blog me Search Engine se traffic bahut jaldi aayega. To ab aap SEO ke baare me thoda bahut samajh chuke hain, jo bacha hai aap pura post padhenge to aapka SEO se related saare Questions solve ho jayenge.

SEO 2 Types ke hote hain :-

On Page SEO
Off Page SEO

On page SEO optimization kaise karein ??

On page optimization vo hota hai jise ham blog likhte samay use karte hain. Koi bhi nayi post ko publish karne se pehle On page optimization karna jaruri hai.

On page SEO ke liye  aap in topic par concentrate kijiye :-

1# Keyword
2# Description
3# Title Tags
4# Keyword Placement
5# H1 tags

Keywords

Agar aapko search Engine se aacha traffic chahiye to aapko apne har ek post me jayada se jayada keywords use karne honge. Koshish kijiye aise keywords add karne ki jo Internet me sabse jayada popular hain or sabse jayada ise search kiya jata ho agar aap aise keywords apne post me add karenge to aapka 40% SEO optimization ho jata hai jisse aapko search Engine se organic traffic milne shuru ho jate hain. Aap chahe to Wordstream tool ka istemal karke ye jaan sakte hain ki kaun sa keyword abhi Internet me jayada popular hai. Iski madad se aap apne blog me kafi jayada traffic increase hote hue dekhenge.

Keyword Density

Keyword Density ka matlab hai ki keywords ka sahi jagah placement matlab ki aap apne keywords apne post me jayada se jayada use karein. Aapko minimum 150 words me ek keyword jarur use kijiye. Aap keywords ko sahi jagah place bhi kijiye jaise ki apne post ke title, Images, Description, Headlines aur sath hi sath URL me bhi keywords ko use karein.

Bidvertiser se paisa kaise kamayein ??
Blog me alexa Ranking widget kaise add karein ??

Aksar permalink me bahut saare faaltu ke codes hote hain isiliye permalink edit jarur karein or isme kamse kam ek keyword jarur add karein. Jab bhi koi image post me dalein to Title tag and Alt tag ka istemal jarur karein. Aur koshish karein ki Alt tag me keyword use karne ka.

Note -Alt tag use karne ke liye blog post me click karte hi properties ka option aata hai usme click karke ham Alt tag aur Title tag ka use kar sakte hain.

Off page SEO optimization kaise karein ??

Blog banakar post likhne se sirf traffic nahi badhta uske baad asli kaam hota hai usme sab se upar Off page SEO optimization hai. Jaise aapne maine bataya tha ki On page optimization hame blog post likhte samay karna hai. Lekin Off page me iska just opposite hai hame blog post publish karne ke baad off page SEO optimization karna hota hai. Koi aise blog ko target kijiye jiska traffic aacha ho usme aap apna link add karein.

Off page Optimization ke liye in factors ko follow kijiye :-

1# Quality Content

Aap jab bhi koi post likhein usse pehle aapko pata hona chahiye ki aapka post visitors pasand karenge ya nahi, iskle liye maine aapko jaisa pehle bhi bataya tha ki aap aise topics par apna post likhein jiske content me bahut aachi quality ho, aap aise topic ke uppar post likhiye jo Internet me sabse jayada search kiye jane wala ho.

Facebook, Twitter bina internet use kaise karein ??

 Aur sabse badi baat aapke post me bhi aachi quality hona chahiye. Iske liye aap dusron ke blog regular padhte rahiye kyuki "Every Writter is a good Reader also" to aapko post likhne se pehle uske uppar aachi jankari le lein, usse aap us post me apne sabse aache words use kar payenge. Dhire dhire post likhte aapko apne aap aache quality post likhne ki aadat ho jayegi. Lekin uske liye aapko regular kisi aur ke blogs ko bhi padhna hoga..

2# Social Sharing

Ab jab aap aache tarike se apna post lika hai to usse logon tak pahunchana bhi bahut jayada jaruri hai iske liye Social media sabse bada sadhan hai, aap Facebook, Twitter, Google plus me apne saare post regular share kijiye aapke visitors isse bahut jayada increase honge. Social sharing se aapko apne blog ke liye bahut aacha backlink milta hai.

Aaj kal Whats app bhi ek bahut bada social network ban gaya hai to aap apne post whats app me bhi apne friends ke sath share kijiye. Social sharing Off page SEO optimization ka sabse aacha factor hai, Social sharing se 50% blog ki traffic increase ho jati hai. Jab ham 2 - 3 hrs post ko likh kar publish karne me lagate hain to 30 min aur laga ke ham apne post ko social media me share bhi kar sakte hain. Aap chahein to Youtube ki bhi help le sakte hain.

Youtube me video upload karke paisa kaise kamayein ??

Uske liye aap Youtube me apne blog se related aache aache videos banaiye or share kijiye aapko isse bahut jayada traffic milega.

3# Commenting 

Social media sharing ke baad commenting bhi bahut jaruri hai. Jab bhi aapko free time mile dusre blog me comment jarur karein isse aap un blog me apna backlink dete hain jo bahut jayada important hai. Aur sath hi sath jab bhi koi aapke blog me comment kare to us comment ka jawab bhi jarur dein isse aapke blog me jitne bhi visitors hain unhe aapke upar bharosa hoga aur vo aapke regular visitors ban jayenge. Aacha comment kariein blog par aur jo bhi visitor aapse koi sawal puche comment me to uske sawal ke jawab aap use jarur dein.

4# Guest Post :-

Guest post ke baare me to aap samajh gaye honge, guest post ka matlab hota hai kisi aur ke blog me apna koi naya post publish karna. Guest post karne se pehle aap ye dekh lein ki jis site me aap guest post kar rahe ho uski ranking aachi hai ya nahi. Guest post se bhi aapko bahut jayada backlinks milte hain aur aapka Off page SEO optimized hota hai. Guest post aise blog me kijiye jo galat baaton ko badhava naa de.

Top 7 tarike facebook account ko hack hone se bachane ke.

Aap chahe to Tricky center me bhi Guest post kar sakte hain. Guest post karne ke liye aap apna saara post content Note pad me ya phir Ms Word me copy karke mujhe nayaknitesh02@gmail.com par mail kijiye aapki post review hone ke baad yahan publish ki jayegi jisse aapka blog traffic bhi bahut jayada increse hoga.

Ab to aap On page SEO aur Off page SEO optimization ke baare me to samajh gaye honge to phir aache aache post publish kijiye aur usko aache se On page aur Off page SEO optimized kijiye, phir dekhiye aapka traffic kaise increase hota hai. Vaise aapko abhi post se related bahut saare sawal dimaag me aa rahe honge, usse aap comment ke jariye puch sakte hain. Agar aapko mujhe personal message karna hai to contact us page me message kijiye. Sath-sath is post ko niche diye hue sharing button se share jarur kijiye.

Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

4 comments:

  1. Sir G, Blog mai menu bar kaise creat karte hai jeyse ki hame EXAM ke liye exam1,exam2,exam3,es tarah se

    ReplyDelete
  2. Sabse pehle to anuj ji aap apne blog ka template change karo
    Aap koi seo freindly template lagayenge to aapko menu bar mil jayega jaisa aap chah rahe hain...
    Template kaise change karein uski jankari yahan hai

    http://www.trickycenter.com/2016/01/blogger-me-template-kaise-change-karein.html

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us