8 Search Engine Optimization Technique To Increase Traffic (In Hindi)

Search Engine Optimization har ek successful blog ki nishani hai. Maine SEO ke baare me aur bhi post likhe hain jo new bloggers ke liye bahut jayada important hai On page $ off page seo kya hai.
Agar aapne ye post nahi padha to me salah dunga ki ye post padh lijiye isme maine bahut se ideas bataye hain jisse blog ki traffic increase kar sakte hain. 

Sab se pehle me batana chahunga ki SEO ka matlab hai Search Engine Optimization, maine bahut se blog me dekha hai log blog to bana lete hain lekin phir kam traffic aane ki wajah se blogging band kar dete hain. Isliye me aap sabhi ke liye ye post likh raha hu.

8 SEO technique to increase traffic

Jab maine blogging shuru kiya tha to mere liye bhi sab kuch naya tha lekin bahut kuch SEO ke baare me sikha or sath hi sath bahut se blog me SEO kar ke bhi diya iske liye me Freelancer.com ka shukriyada karta hu jisse mujhe kaam mila.

To niche me aapko kuch SEO technique ke baare me batata hu jo aapki help karegi Blogging me :

1 # Use Of Infographics 

Blog me Good quality images jo aache se design kiya gaya ho bahut jayada effect deta hai. Isse aapke traffic me dugna izafa hota hai. Blog post se related image aisa hona chahiye jo blog post se matc h karta ho. Images blog me traffic lane ke liye bahut jayad help karte hain.
Aap images bahut se website me upload karke jayada traffic paa sakte hain lekin uske liye aapka image attractive hona chahiye. Pinterest.com me aap chahe to apne blog post se related image upload kijiye isse aapko bahut jayada traffic milne ke chances hain.
Blog ke Footer me pages kaise add kare
Attractive image banane ke liye hamesha koi aache Software ka istmal kijiye For Ex- Adobe Photoshop. Jab bhi koi aacha image blog post me aap upload kare to alt tag ka istemal jarur kare. Alt tag se aapka image optimize hota hai. Isse traffic badhne ke bahut jayada chances hain.

2# Long Tail Keyword :

Jaise ki maine pehle bhi bataya tha ki keyword blogging me bahut jayada important hai. Google search Engine bahut jaldi keyword detect karta hai jisse aapke blog me traffic badh jata hai. Khaskar agar me baat karu Long tale keywords ki to ye bloggers ke liye ek miracle hai. Facebook, Twitter bina internet kaise use kare

Agar ham long tail keyword ki baat kare to ye bahut jayada help karta hai aapke blog ki ranking badhane me Small keyword ki tulna me. Maine bahut se bloggers ko dekha hai jinke post kuch hours me hi google ke top search me aa jate hain sirf or sirf long keywords ki madad se. Aap chahe to yeh Free Keyword Tool  ka istemal kar sakte hain long tail keywords ke liye.

3# Social Bookmarking Sites :

Aise bahut se bloggers hain jo social bookmarking site me apne blog ko bookmark nahi karte. Social Bookmarking site bahut jayada important hai jayada traffic pane ke liye. Isse aapke blog ki popularity badh jati hai or jayada log aapke blog se jud paate hain. Aise bahut se social bookmarkin site hain jo blog ko popular banane me help karte hain For Ex- IndibloggerStumbleuponPinterest Etc.

Ye saare website aapke blog me traffic lane me help karte hain. Aap chahe to google me aur bhi jayada Social bookmarking site ke baare me check kar sakte hain lekin maine jo websites bataye hain ye bahut hi jayada popular website hain.

4# Blog Commenting :

Agar aap ek successfull blogger banna chahte hain to dusre blog me aapka comment karna bhi bahut jayada jaruri hai isse aapke blog ko backlinks milte hain. Aur sabse badi baat comment karne se directly aapki traffic increase hoti hai.

Hostgator affiliate program se paise kaise kamaye
Custom Email address kaise banaye domain use karke

Lekin kisi blog me spam comment na kare jisse dusro ko taklif ho. Agar aapke blog me visitorsko  thodi si bhi dilchaspi dikhegi to vo aapke permanent visitors ban sakte hain. Isliye comment karne se pehle in baato ka dhyan rakhe.

5# Off page optimization :

Off page optimization jisse ham search media optimization bhi keh sakte hain bahut jayada important hai blog traffic ke liye. jab bhi koi aap koi nayi post dale to use Social media me share jarur kare. Isse bahut jayad traffic aap apne blog me paa sakte hain.
 Isse aapke blog me bhi logo ko comment karne ka mauka milta hai. Jisse backlink badhta hai or ranking increase hoti hai blog ki. Lekin hamesha comment box me moderation ka istemal jarur kare jisse koi bhi galat comment na kar sake aapke blog me.

6# Guest Posting :

Guest posting traffic increase karne ka sabse badhiya tarika hai. Isse aapke blog ko bahut jayada backlinks milte hain. Guest posting se aapke blog me bahut saare visitors aise hi visit kar jaate hain. aise bahut se blogging website hain jisme aap chahe to guest post kar sakte hain, lekin ye hamesha yaad rakhe ki aapka guest post approve ho jaye iske liye aap dusre blogging website ki policy ko follow karna hoga. Blog ke liye privacy policy page kaise banaye.
Aaj bahut se professional bloggers hain jinka blog sirf or sirf guest post ke karan popular hua hai. Isliye Guest posting bahut jayada important hai. Guest posting mujhe blogging me babhut jayada help kiya hai.

7# Use Of Webmaster Tools :

Blog ki traffic badhane ke liye Webmaster tools bhi bahut important hai, Aap Google, Yahoo, Bing, Yaandex jaise search engine ke webmaster tool me apni site ko upload kar sakte hain jisse aapke blog ki ranking badhti hai or sath hi sath aapke blog me traffic bhi badhta hai. Ye search engine optimization ka sabse important part hai. Isse aapka blog search engine me index ho jata hai. Jisse aapke blog post top result me show honge lekin uske liye aapko top most good aarticle likhna hoga keywords ko dhyan me rakhte hue. Google Search Console me sitemap kaise submit kare

Google search engine ke top most search result me aane ke liye aapko apne blog post ka SEO kuch is prakar karna hoga jo sab se aacha ho. Iske liye aap jayada se jayada keywords ka istemal kijiye aur aache article likhiye jo jayada searchable ho. Isse aapke blog ka traffic 100% increase hoga.

8# Answering Question and Joining Blogging Communities :

Jab bhi aapke blog me koi comment karta hai to uske comment ka answer dena bahut jaruri hai. Isse aapke visitors bane rehte hain. Aap bahut se blogging communities ko join kijiye unki salah lijiye sath hi sath agar unko koi help ki jarurat hai to aap unki help bhi kijiye isse aapke visitors badhne ke bahut jayada chances hain.

Blog me alexa Ranking widget kaise add kare
Blog me email subscribe widget kaise lagaye

 Aap kuch aise website for Ex - quora.com me jakar blogging se related questions ka answer dijiye. Aur sath hi unki problem solve kijiye. Yaad rakhiye har blogger ke liye uske visitor bahut jayada important hote hain to hamesha unke problem jahan tak ho sake sor out kijiye aur aise article likhiye jo aapke visitors padhna pasand karte ho. Is tarike se kuch hi dino me new bloggers ek profesional blogger ban sakte hain. 

Ab to aap samajh chuke honge ki Seach Engine Optimization blog ke liye kitna jaruri hai to aapse me bas yahi kehna chahunga ki uppar diye gaye technique ko apne blog me use kijiye aur phir result aap khud hi mehsoos karne lagenge. Iske liye kuch samay jarur lagega lekin aap guaranteed apna blog optimize kar lenge in technique ki help se. 
Kaamna karta hu ki ye saare Search engine optimization technique aapke kaam aaye, jis tarah ye mere kaam aaye the, Agar post se related koi bhi sawal ho to aap mujhse puch sakte hain.

Thankyou

Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us