Hostgator Affiliate Program Se Paisa Kaise Kamayein

Jaisa ki aap sab jaante hain hostgator world ki top hosting website me se ek hai. Aur jab bhi hostagor ki koi offer ati hai to new blogger hamesha  apna blog hostgator me convert kar dete hain. Hostgator hame unke affiliate program se paisa kamane ka mauka bhi deti hai. Matlab ki hostgator apne ads provide karti hai or use ham apne blog me laga sakte hain.


Hostgator Affiliate program se Paisa kaise kamayein

Aur jab bhi koi hostgator ke  ads me click karke hosting leta hai to hostgator hame uska kuch commission deti hai. Hostgator ke affiliate program se bahut se log bahut saare paise kama rahe hain. Aur sabse badi baat ye hai ki adsense hame hostgator ke ads apne blog me lagane deti hai. Youtube se video banakar paisa kaise kamayein

 

Hostgator Ke Affiliate Program Se Kaise Judein ?

Hostgator se paisa kamane ke liye aapko hostgator ki affiliate program se judna hoga tabhi Hostgator aapko apne blog me affiliate ads lagane dega jisse aap aache khase paise kama sakte hain.
Hostgator ke affiliate program se judne ke liye aapko kuch steps follow karna padega :-


Step 1# Sabse Pehle app Hostgator Ke Site me Jayein aapke saamne ek naya window khulega usme aapko Sign Up Free ka option dikh raha hoga usme click kijiye.

Internet se ghar bethe paisa kaise kamayein
Website(blog) kaise kamate hain 
Google search console me sitemap kaise submit karein

Hostgator Affiliate program se Paisa kaise kamayein

Step 2# Ab aapke screen me ek naya window khulega usme aapko form milega use aapko form bharna hai.


Email Adreess - Isme aapko apna Email address dalna hai.
Affiliate User Name - Isme aap apna user name choose kijiye.
Affiliate Password - Isme aapko apna password dalna hai.
Repeat Password - Is option me aap apna password repeat kijiye.
Full Name - Is column me aap apna naam daliye (Vahi naam daliye jo aapke bankaccount me hai.)


Address - Is option me apne ghar ka full address daliye.
City - Is column me aap apne city ka naam daliye.
Region State - Ab aapko apne state is column me dalna hai.
Zip code - Is option me apne city ka pin code daliye.
Country - Country option me country ka naam daliye.
Company Name - Is option me aap apne Blog ka naam daliye.
Home Phone, Cell Phone - In dono option me aap apna numnber daliye.
Blog ke footer me pages kaise add karein

Hostgator affiliate program se kaise judein

Terms of service me click karke continue me click kar dijiye aapka account ban jayega.
Sign in karne ke baad aapko kuch is tarah ka page dikhega. Isme aap coupon code, Banner ads, Referal, Commision dekh sakte hain or manage bhi kar sakte hain.Website blog se per day 50-100$ kaise kamayein

Step 3# Ab aapka account hostgator me ban chuka hoga. ab aap apne blog me hostgator ke ads laga sakte ho aur jab bhi un ads me click karke agar koi hostgator se koi hosting lega to iska commission aapko Hostgator deta hai. Aap isme alag alag tarah ke ads code generate karke blog me laga sakte hain.

Hostgator ke Ads Blog Me Kaise Lagayein ?

Hostagor ke ads blog me lagane ke liye sabse pehle hostgator me login kijiye aapke screen me ek window khulegi usme aapko Banner Links dikh raha hoga usme click karne par aapko bahut saare ads option dikh rahe honge. Jo bhi ads aapko blog me lagana ho use choose kar lijiye phir aapko click karne par ads code milega jisko aapko apne blog me add karna hai.

Facebook, Twitter bina internet kaise use karein
Kaise banayi mark zuckerburg ne facebook


Ads Code ko blog me add karne ke liye sabse pehle Dashboard>>Layout me jayein aur aapko jahan bhi apne ads show karne hain vahan add gadget me click karo aur HTML/ Java script me click karke codes paste kar dijiye. Aapke blog me ads show hona shuriu ho jayega.

Hostgator se payment kaise lein ?

Hostgator se aap 2 tarike se payment le sakte hain :-
1# Check
2# Paypal
Paypal account kaise banate hain

Payment option set karne ke liye aap Hostgator me login karke Edit Payment Info me clcik kijiye aur aapko jisse bhi payment lena hai usme click karke einformation update kar sakte hain.

Hostgator ke Coupon Code Kaise Generate karein ?

Hostgator se coupon code generate karke aap blog me publish kar sakte hain aur jab bhi aapke generated code ko use karke koi hostgator se hosting leta hai to aapko iska commission milta hai.
Hostgator se apna coupon code banane ke liye sabse pehle hostgator me login kijiye aur manage coupon code me click kijye. Ab aapke saamne ek naya window khulega Usme aapko 2 option dikh rahe honge. Adsense 2-3 din me kaise approve karein

Bidvertiser se paisa kaise kamayein


1# Coupon Code - Isme aapko jis name ka coupon code banana hai vo rakhein.
2# Discount - Is option me aapko discount percentage set karna hai matlab ki aapko apne visitors ko kitne percentage ka discount dena hai isme choose kijiye aur Create Coupon me click kar dijiye.

Offer Free Installation Of Wordpress :-

Aapnne bahut se blog me dekha hoga ki kuch log free me wordpress install karke dete hain hosting site me. Lekin uske liye aapko unke referal Link, Coupon Code ko use karke hosting kharidna hota hai. Isse unhe commision mil jata hai, aap chahe to ye offer laga ke bhi hostgator se paisa kama sakte hain.

Review Dein Hostgator ka :-

Agar aap Hostgator ke  customer hain to aap apne blog me hostgator ke review ke baare me post dal sakte hain. Aur sath hi sath aap apne hosting experience ke baare me bhi apne visitors ke sath share kar sakte hain jisse ki aapke visitors hostgator me intrest lein phir jab ve hosting kharidenge to aapke coupon code ka istemal jarur karenge.

Agar koi special day ho to aap uske hisaab se apne blog me offer dal sakte hain. For Ex - Black Friday, Valentine's day offer. Aapke visitors ye chance kabhi miss nahi karenge. Aur aapke coupon code ka istemal karke hosting kharidenge

Ab to aap samajh chuke honge ki hostgator ke affiliate program se paisa kaise kama sakte hain. kaamna karta hu ki aapko is post se help mili hogi. Abhi aapke man me kuch sawal honge to aap use comment ke jariye puch sakte hain. Aur sath hi is post ko social media me share karna na bhoolein.

Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

14 comments:

  1. go daddy se domain kharid ne ke baad locked likha hua hota hai use on rakhna hota hai ya off

    ReplyDelete
    Replies
    1. Lock ka sign kaha dikha raha hai godaddy me ???

      Delete
  2. aap photo editing ke konsa software use karte hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Photo editing ke liye me photoshop aur Ms power point ka use karta hu....

      Delete
  3. bhayi mene template b change karli phir b prblm he mughe to aisa lag rah he ki bhagwan ne hi ye sab kuch kiya he wo nhi chahte ki me b pese kama saku.. kyu ki aisi prblm mugh nhi lagta kisi ko hogi meri prblm solve nhi ho rhi he mere visitor isi karna ghat rhe he agar aap kuch kar sko to apki badi mehrabani hogi.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Dev aapne phir se vahi template laga di hai aap template change karke kuch din wait to karo sab kuch thik ho jayega. Product.google forum me aap message karo jo maine aapko email me send kiya hai
      Aapka problem solve hoga dev thoda patience rakho....

      Delete
  4. Sir adsense ka pin kitne dino me aata hai? 1month ho gya hai abtak mujhe adsense ka pin prapt nahi hua hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mil jayega ek baar address check karo ki sahi hai ki nahi vaise thoda time lagta hai thode din aur wait karo aapko pin jarur milega..

      Delete
  5. 1. good work ek baar meri site pe visit kar ke batao kaisi hai agar koi kami hai toh muje jarur batana.
    2. Adsence ke liye apply karu ya nahi.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aapki site aachi hai sandeep koi problem nahi hai bas jab bhi post dalo to kam se kam 1000 words ka dalo isse adsense approve hone ke chances hain.
      2. Haa aap adsense ke liye apply kar sakte ho mera suggestion hai ki aap youtube se adsense ke liye apply karo kyunki youtube se jaldi approve hota hai...

      Delete
  6. nice bro i checked your blog date it is just 30 days old and you are getting 600-800 pageviews daily so nice bro have you any advice for my blog ?? My blog is 10 days old and i have 21 post fir bhi nujhe bas 60-70 daily pageviews milte hai kya yeh normal hai ?

    ReplyDelete
  7. Dekho ankit mera blog 1 month old hai lekin phir bhi maine apne post me SEo ke liye mehnat ki hai yaad rakhiye ki 1 effective post 10 normal post ke barabar hai.
    Isliye jab bhi aap post dalo to SEO me dhyan do tabhi google search engine se traffic aayega..

    ReplyDelete
  8. Bhayi me read more posts ka length kam karna chahta hu plz bataiye me kese karu wordpress blog par post summary

    ReplyDelete
    Replies
    1. simple layout me jakar blog post ke edit option me jao...

      Delete

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us