Google Adword Kya Hai Aur Adword Kaise Kaam Karta Hai?

Google Adword ka naam to aapne suna hi hoga lekin bahut se log iske baare me nahi jaante, isliye aaj me google adword kya hai ye aapko bataunga.
Aksar log blog banate hain aur usme kuch din post bhi aache aache karte hain lekin blog me kam traffic hone ki wajah se blogging band kar dete hain.


Blog ke liye privacy policy kaise banate hain
On page and Off page SEO kya hai

Google Adword kya hai aur Adword kaam kaise karta haiFriends kisi bhi kaam ko karne ke liye usme passion aur patience hona jaruri hai. In fact jab aap blogging karte samay agar ye sochenge ki aapka blog famous hoga to definitely hoga, lekin iske liye aapko patience rakhna bahut jaruri hai. 


Agar aap chahte hain ki aapka blog bahut jaldi famous ho jaye aur aapke blog me bahut jayada visitors aayein to iske liye aapko thoda investment karna hoga jisse aapko bahut jaldi Search Engine se traffic milna shuru ho jayega.


Iske liye aapko Google Adword ka istemal karna hoga. Google Adword bahut jaldi aapke blog me traffic lane me help karta hai, lekin iske liye aapko google adword ko kuch paise dene hote hain.

Google Adword Kya Hai ?


Google Adword naam sun ke ye to aapko pata chal gaya hoga ki ye google ki ek service hai. Agar short me batau to ye ek advertising network hai. Jisme kisi bhi prakar ki advertisement show ki jati hai. Agar aap ek new blogger hain aur aap chahte hain ki aapke blog me traffic jaldi aane lage to iske liye aap google adword ki help le sakte hain. 


Google adword aapke blog ka advertisement bahut saare dusre blog me show karega jisse aapke ads me click karke log aapke blog me visit karenge aur isse aapke blog ka traffic kuch hi dino me increase ho jayega.

Blog me Alexa Ranking widget kaise add karein
Blog me contact us form kaise banate hain

Jaisa ki maine aapko bataya ki google adword me advertise karne ke liye aapko kuch investment karna hota hai, Jab bhi google aapke ads dusre blog me show karega agar us ads me koi click karega to aapko per click ke paise google ko dena hoga. Aur aapke visitors kuch hi dino me increase ho jayenge.

Google Adword Kaise Kaam Karta Hai ?

Jab bhi aap apne blog ko google adword me submit karenge to aapke ads adsense ke ads me show honge matlab ki jin bhi blogger ne apne blog me adsense ke ads lagaye honge unke blog me aapke ads display honge aur agar un ads me koi click karta hai to aapko iske paise google ko dena hoga. Google Adword se aapke blog ki traffic rank bahut jaldi increase ho jayegi.

 Lekin aapke blog me aache contents bhi hona jaruri hai, Agar aapke blog me aache content(post) rahenge tabhi aapke blog me visitors interest lenge. Google Adword aapke blog me visitors lane me help karega lekin aapko new visitors ko regular visitors banane me mehnat karna hoga tabhi aapka blog popular hoga. 

Google Adword Se Blog Traffic Kaise Badhayein ?

Google Adword se blog traffic badhane ke liye aapko Google Adword ki site me jaana hoga aur aapko isme apne blog se related koi ads banana hoga jo google adsense dusre blog me aapke ads show karega. Aur sath hi aapko apne CPC bhi decide karna hoga ki aapko per click ke google ko kitne paise dena hai. Jitna jayada aapka bids hoga aapke ads utne jayada website me dikhayi dega.

Note - Agar aap Google adsense ke ads blog me lagate hain to aapke blog ke liye Google Adword kisi bhi kaam ka nahi hai kyunki google adsense paid visitors allow nahi karta. Isliye agar aap blog me google adsense use kar rahe hai to aapka google adsense ban ho sakta hai agar aapne Google Adword ka use kiya to.

 Agar aap blogging sirf passion karte hain aur chahte hain ki aapka blog popular aur famous ho to aap google adword use kar sakte hain.
To friends kaamna karta hu ki is post se aap google adword ke baare me aachi information mili hogi.
Agar aapko koi sawal puchna hai to aap niche comment ke jariye puch sakte hain. Aur agar aapko post aachi lagi ho ise social media me share karna na bhoolein.

Thank You

Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

12 comments:

  1. bhayi jese mene ads ke liye direct apply kiya site ke liye jab tak wo 3 din me apni site ka review kerenge ads dikhane ke liye tab tak hame add code banaakar ads lagane he ya nhi ya phir 3 din baad lagane he jab unka mail aa jaye ki apka ads approved ho chuka he mera matlab aaj ads ke liye apply karu or aaj hi ads laga skta hu apne apni site par

    ReplyDelete
    Replies
    1. Dev aapko adsense ka code apne blog me lagana hoga tabhi to google aapke blog ka review kar payega
      Phir aapko adsense se mail aayega ki aapka account approved hua ya nahi...

      Delete
  2. mere blog me adsense approve ho gya
    Agar mai uska domain change krna chahu to kya kr sakta hu???

    ReplyDelete
  3. Godaddy se le lo 99 rs ka domain name aap blogger me custom domain kaise add karein post padho..

    ReplyDelete
  4. bhayi mughe batao ki aap image dalte he apne post me to kis se banate ya kis soft ho or or screenshot ke liye koi accha sa soft batao jisse me apne hisab se select karke jitna chahut image size ka screen shot le sku.. plz

    ReplyDelete
  5. Me photoshop aur paint se image banata hu
    Aur picpic aacha software hai kisi bhi size ka screen shot lene ka...

    ReplyDelete
  6. nice post ...
    www.Deepshelp.com

    ReplyDelete
  7. Bhayi mene Ad's bana liya h ab mughe ye smgh nahi aa raha hi ki kaha par or kese add lagau apni site me plz mughe bataiye..nhi galat jagah laga diya to approve hone se pehle hi disapprove ho jaye plz bhayi jaldi batao.

    ReplyDelete
    Replies
    1. ab aapne jo ads banaya hai usme get adcode ka option aa raha hoga usme click karke ads ka code copy kar lijiye aur blog me layout me jakar jahan bhi aapko ads lagana hai vahan add gadget me click kijiye aur HTML/javascript me aapko ads ke code copy karna hoga.
      Aap kahin bhi ads lagao google adsense aapke pages crawl kar lega...

      Delete
  8. Bhayi phir b apne hisab se app batado ki kaha par or kitne ads lagadu haal philhal ke jisse ads approved ho jaye phir baad me jayada laga dunga.....
    or kab tak approved ho jayega.
    Plz ye dono ke jawab dena
    Bhayi me new hu isliye puch raha hu

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap Responsive size ke ads banao aur ek sidebar me lagao aur ek footer me lagao aapko 1-2 din me adsense ka mail aa jayega ki aapka application approve hua ya nhi..
      Vaise aapka blog to aacha hai adsense approve ho jana chahiye...

      Delete

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us