Blog Ke Footer Me Pages Kaise Add Karein

Jab bhi ham koi naya page banate hain to use ham apne blog ke footer me add karna bhi bahut jaruri hai. Actually jab bhi ham koi kaam ka page banate hain jaise ki Contact UsAbout UsPrivacy Policy aise page blog ke liye bahut jaruri hote hain aur ise blog ke footer me add karne se visitors bhi aapke jarri page ko jaldi access kar payenge.

Blog ke liye privacy policy Page kaise banate hain
Blog ke liye contact form kaise banayein


Vaise bhi jab aap important pages apne blog ke footer me lagate hain to isse blog aur bhi jayada professional lagata hai. Aur isse aapki alexa ranking bhi bahut jaldi improve hoti hai.


Sabse badi baat ye hai ki aapke visitors ko aapke important pages ko access karne me koi bhi problem nahi hoti hai aur vo jaldi aapke Important pages ko open kar sakte hain jisse ki aapke visitors regularly aapka blog check karte hain new post ke liye kyun ki vo aapke blog ko pasand karne lagte hain. Isliye aaj me aapko blog ke footer me page kaise add karte hain vo bataunga.

Footer Me Pages Kaise add karein ?



Blog ke footer me page add karna bahut aasan hai iske liye aapko ye steps follow karna padega.

Step1# Sabse pehle blogger>>Dashboard>> Template me jayein..

Facebook, Twitter bina internet kaise use karein
Kaise banayi mark zuckerburg be facebook

Step 2# Template section me Edit HTML me click kijiye aapke screen me ek nayi window khulegi usme aapko jump to widget me click karna hai aur aise widget me click karna hai jo aapne footer me add kiya hai (Agar aapne blog ke footer me koi widget add nahi kiya hai to pehle aap koi widget apne footer me add kar lijiye isse aapko footer me page karne me help ho jayegi.

Email Id kaise banate hain
Footer me add kiye hue widget ko click karne ke baad aapke template ke sab se niche credit link hoti hai (For Ex - copyright 2015-16) aapko kuch aisa hi HTML section me dikh raha hoga uske just niche aapko </script> naam ka code dikh raha hoga jus line ke code ke niche aapko ek lcode add karna hoga.

<a href='Page URL'>Page Name</a>
Page Url ki jagah aapko apne page ka url dalna hoga jisko aapko footer me add karna hai, aur Page Name ki jagah aapko apne page ka naam dalna hoga jaise ki agar aap Contact Us page bana rahe hain to Page Name ki jagah 'Contact Us' naam rakhiye.

Internet se ghar bethe paisa kaise kamayein
Website(blog) kaise banate hain

Maine jo code bataya hai agar aap usme galti karenge to thik se footer me pages add nahi hogi. Isliye aap code thik se type kijiye aur ek baar confiirm kijiye ki sab kuch thik hai ki nahi.
Aap chahe to kitne bhi pages blog ke footer me add kar sakte hain uske liye aapko maine jo code batayi hai use hi use karna hai.

Agar aapko kisi bhi prakar ki koi pareshani ho rahi hai codes add karne me to aap comment karke directly mujhse puch sakte hain. Aap chahe to mujhe directly personally Contact-us page ke jariye contact kar sakte hain aapke saare sawalo ke jawab aapko jaldi mil jayenge. Aur agar ye post aapko aachi lagi ho to ise share jarur karein.

Thank You!!

Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

43 comments:

  1. pata nhi bhayi kya prblm ho gayi he ki 1st page par sift 4 post hi aa rhi he jabki mene 6 set kar rakhi he plz bataiye ki kya prblm ho skti he

    ReplyDelete
  2. Okk Aap ek baar template phir se upload kar ke try karo agar phir bhi koi problem aati hai to mujhe bataiye...

    ReplyDelete
  3. bhayi me bahut pareshan hu plz aap meri help kijiye mere first page par kabhi 4 to kabi 3 or kabi 5 post show hone lgti he jabki me 9 set kar rakhi he ab me unhe 6 b set kardu to b utni hi post dikhayi deti he yani wo apne man se dikhayi deti he plz mene template b change kar liya tha par same prblm, ho rhi he kya me aaj template change kar skta hu par abi mene ads ke code lagaye huye he or meri site ka review chal rha hoga agar mene abi template change ki to shayd ads approve na ho

    ReplyDelete
  4. Aap template change kar sakte ho koi dikkat nahi hogi vaise bhi template change karne me 2 min se bhi kam time lagta hai...

    ReplyDelete
  5. Replies
    1. Nahi me blogger platform me hu lekin jaldi hi me wordpress par shift karunga..

      Delete
  6. Aap konsa template use kar rahe ho

    ReplyDelete
  7. Ribbon template use karta hu..
    New blogger themes se aap bhi laga sakte ho..

    ReplyDelete
  8. bhayi mene template b change kar ke dekh li only 4 post show ho rhi he par agar me older post par click karu to puri sahi 9 dikhti he ye ajib si prblm he bhayi plz aap isko solve kijiye or agar me 4 se kam set kar du to kam ho jati he par agar me 4 se jyada yani 5 6 9 ya jo to nahi ati he par second page par sahi ati he jitni set kardu plz aap kuch bataiye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Phir to aapke template me koi problem hai aap koi dusra template lagao...

      Delete
  9. bhayi mene or b tamplate change kar ke dekh li par same prblom ho rhi he par 1 baat smgh aa gayi ki kal mene 4 post dali or to phir aaj home page par 4 dikhayi de rhi par ab me aaj 3 post dali phir aaj ki 3 or kal ki 1 dikhayi de rhi he ab mene aaj 4 post dali to aaj ki 4 dikhayi de rhi he ab agar me 5vi post dalta hu to 5 dene lagegi or 6 post aaj daltu hu to 6 dikhayi dene lagegi aisa ho rha he mene apko smgha diya or ormeed he apko b smgh aa gaya hoga agar ab solotion ho apke paas to plz bataiye..

    ReplyDelete
  10. Dev sabse pehle aap layout me jao aur blog post ke edit option me click karo aapke saane ek naya window khulega usme aap no of post on main page me aapko jitna jarurat hai utna dalo aur uske just right side me days with post ka option chun ke save kar do problem thik ho jayegi..

    ReplyDelete
  11. Hi, Mera naam ajeet kushwaha. Maine aapka blog dekha mujhe bahut achha laga. Just maine bhi abhi bloghing suru ki hai..

    www.techgonext.com

    Yah mere blog hai. Me bhi hindi me hi blogging karta hun. Aisa lagta hai aap or me same kam kar rahen hen.

    Kya aap se me whatsapp par bat kar sakta hun???

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap mujhe contact form ke jariye contact kar sakte ho personally nahi to aapko kisi bhi prakar ka ques hai to comment karke puch sakte ho...

      Delete
  12. Bro aapko daily kitne pageviews milte hai

    ReplyDelete
  13. Mujhe lagbhag 600-800 pageviews perday milte hain...

    ReplyDelete
  14. bhayi mene layout me jakar set kar diya phir b prblm ho rhi he me bahut bareshan hu plz isk upay kijiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap ek baar apne blog post me edit karke min post 6 rakho aap 9 rakhe ho isliye show nahi ho raha
      Aur agar phir se problem aaye to product.google forum me shikayat karo...

      Delete
  15. 1. bhayi ye apne post tile ke niche konsa add lagaya he or kese lagaya.
    2. side baar me kon kon se add lagene chahiye or kitne
    3. kya 1 hi add code ko ham jaaha chehe uha paste kar skte he ya alag alag place pr lagene ke liye alag alag code banana padega.. plz mughe batayie bhayi
    4. mene abi add link responsive wala side baar me code lagaya he wo dikh kyo nhi rha he

    ReplyDelete
    Replies
    1. Pehle to aapke adsense approve hone ke liye aapko congratulations.
      1# Post title ke niche maine medium rectangle wala ads laga hai.
      2# Side baar me aap horizontal banner aur medium rectangle ke ads laga sakte ho.
      3# Nahi agar aapko koi ek hi ads ka code lagana hai to aap jahan chahe vaha paste kar sakte ho aur jitne baar chahe utne baar.
      4# Thoda time lagta hai dev ads appear hone me..
      aur 3 se jayada ads mat lagaiye kyunki isse aapki cpc kam ho jayegi.
      3 display and 3 text ads use kijiye...

      Delete
  16. bhayi app sab logo he help apki help jummedin bhayi ki help or bhwagwan ki kripa addsense to approve hona hi tha
    1# wo hi to me puch rah hu ki kese lagaya he side me to widget se laga dete he phir post ke andar title ke niche kese lagau..
    2. mene 2 hi add lagaye he bagal me earning to abi he hi nhi par kam jab hui to kam to nhi ho jayegi.
    aap plz meri site visit kijiye or bataiye ki mene sahi lagaya ye ya koi galti kar rha hu

    ReplyDelete
    Replies
    1. 1# Sabse pehle aapko jis bhi post ke andar ads lagana hai usme edit option me jayein or HTML ke option me jakar aapko post me jahan bhi ads lagan hai vaha code paste kar do ads display hona shuru ho jayega.
      2# nahi hogi earning kam adsense hame 3 display ads aur 3text ads lagane ki permission deta hai.
      Aapne ads aache lagaye hain koi problem nahi hai bas blogging regularly karo income hoti rahegi...

      Delete
  17. bhayi meri 1 or help kardo kisi b tarh se to me ye apka eshsaan hamesah yaad rakhuga bhayi plz abi mere home page par 5 post show rhi he ab me new post add karuga to 6 ho jayegi phle ye prblm nhi thi abi ho gayi he do din se kya ye apne aap thik ho skti he ya nhi

    ReplyDelete
    Replies
    1. Dev aap sabse pehle layout me jakar blog post ke option me jakar show post me 5 ya 6 karo kyunki aapne bataya tha ki aap 9 post option me dal diye ho. Itne post show nahi hoga post me, Aur agar phir se koi problem aaye to google. product forum me apna problem dalna aapka problem solve ho jayega.

      Delete
  18. bhayi mene apko 1 email send kiya he aap use pad lena.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Dev maine aapke sawal ka reply aapko email address me diya hai dekh lijiye..

      Delete
  19. send feedback send kar diya h.. apki help se
    bhayi meri rpm 01 he aisa kyo jab ki mughese jayada alexa wale frnds wo daily ke 3-4 dollor earn kar rhe he he jabki meri alexa rank 4 lac

    ReplyDelete
  20. Rpm se kuch fark nahi padta hai dev CPC se padta hai.. RPM aise calculate khota hai jo aapke earning ke uppar depend karta hai..
    Page RPM = (Estimated earnings / Number of page views) * 1000

    ReplyDelete
  21. me apne post ke andar kis size ke or kon se add lagau jisse earning ho plz

    ReplyDelete
  22. bahut badhiya jankari share ki hai aapne.brother aap mer site www.pakkasolutionhindi.com par visit kar ke bataye ke kaisi hai agar koi kami hai toh pls muje batana .

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bahut aacha blog hai aapka koi kami nahi hai...

      Delete
  23. aap blogger use krte ho ya wordpress.
    maine blog bnaya h
    hindihelpking.blogspot.com
    iss par adsense ke ads. lgaye h par vo show nhi ho rhe.
    kya aap mere blog ko chek karke bta skte h ki usme kya kya kmi h.
    help me.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Me blogger use karta hu. Vaise aapne apne blog me aacha improvement kiya hai koi problem nhi hai. Aur aapka adsense approve nhi hua hoga tabhi ads show nhi ho raha hoga.

      Delete
  24. Blog main commet box nhi aa rha kaise add kre.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Apne blog ka link send kijiye mujhe check karna padega

      Delete
  25. blog main share wiget kaise lagaye jaise aapne lga rkhi h.
    main apne blog main temlent upload kar rha par ho nhi rha h

    ReplyDelete
  26. blog main share wiget kaise lagaye jaise aapne lga rkhi h.
    main apne blog main temlent upload kar rha par ho nhi rha h

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap simple google me search kijiye sharing widget for blogger aapko bahut se sharing widget mil jayenge...

      Delete
  27. kya wordpress par free blog ke liye bhi hosting lena jruri h. ya bina hosting bhi blog chla skte h.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Wordpress me blog banane ke liye hosting lena jaruri hai. Agara aapko wordpress me free blog banana hai to aap wordpress.com me bana lo lekin usme aapko features bahut kam milte hain.

      Delete
  28. Urdumeinhelp.blogsot.com dost visit ker k btana traffic kiun n ati aur ap Ki kitni post hn and kitne page view atey hn din me

    ReplyDelete
    Replies
    1. R3gularly post karo aur thoda patience rakgo auto?atically visitors aayenge blog me agar aap quality artickes likhte hain to. Abhi mere per day 900-1200 pageviews aate hain.

      Delete

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us