Paypal Account Kya Hai or Paypal Account Kaise Banate Hain

Paypal ka naam to har kisi ne suna hoga lekin ye kya hai bahut saaare logon ko nahi pata hai. Actually paypal ka use kisi other country se money lene ke liye kiya jata hai.


Aaj main aapko Paypal ke baare me puri jankari dunga aur sath hi sath paypal me account kaise banayein ye bhi bataunga.

Website(blog) kaise banate hain ??
Internet se ghar bethe paisa kaise kamayein ??

Paypal ek sabse badi safe online fund transfer software hai or sabse badi baat ki ye koi bhi scam website nahi hai kyunki world ki top country paypal ka use fund transfer ke liye karte hain.
Actually jab bhi hame online paisa kamane hote hain to hame online money pehle paypal me transfer karana hota hai, phir ham apne paypal account ke jariye money apne bank account me le sakte hain.

Paypal account banane ke liye kya chahie ??

Paypal account banane ke liye aapko in chijo ki jarurat padegi :-

1# Email Id
2# Pan Card
3# Debit card/Credit Card
4# Bank account

Agar aapko Email Id banana hai to ye post padhiiye
Email id kaise banate hain ??
Youtube se video banakar paisa kaise kamayein ??

Isme sabse Important bank account hai kynki agar aapke paas bank account nahi hai to aap paypal se payment kaise lenge.

Paypal account kaise banate hain ??

Jaisa ki maine aap sabhi ko bataya ki aapko paypal me account banane ke liye uppar diye hue kuch chijo ki jarurat padegi. Agar aapke paas ye saari chijein nahi hai to pehle ye bana lijiye.

Paypal me account banane ke liye ye saare steps folow kijiye :-

Step 1# Sabse pehle Paypal ki site me click kijiye

Step 2# Paypal ki site me click karne ke baad aapko upaar diye hue sign up>>Individual account  button me click karna hai.

Step 3# Ab aapke saamne ek form aaega usme aapko apne sahi details dalne hain.


(1) First column me Country dalna hai.
(2) Second column me aapko apna Email address dalna hai.

Facebook, Twitter bina Internet use kaise karein ??
Top 7 tarike facebook account hack hone se kaise bachayein.

(3) 3rd column me aapko password put karna hai, koi aisa password choose kijiye jo min 8 digit ka ho aur koshish kijiye ki usme aap koi numeric digit ka bhi use karein isse aapka password aur bhi jayada strong ban jayega.

(4) 4th column me aap apna password phir se put kijiye aur continue ki button me click kijiye.

Step 4# Continue button me click  karne ke baad aapke saamne ek naya page khulega, usme aapko apne personal details dalne hai.


(1) 1st column me apna first name aur last name daliye.
(2) 2nd column me apna address (pata) dalein.

(3) 3rd column me aapko apna choose karna hai, aap kaun si city me rehte han vaha put kijiye.
(4) Isme aapko apna state dalna hai.

India ka sabse sasta smartphone less than 500 Rs..
Bidvertiser se paisa kaise kamayein ??

(5) Is column me aapko apna Pincode dalna hai.
(6) 6th column me aapko mobile number dalna hai. Sahi number enter kariye kyunki paypal baad me aapko mobile number verify karne ko bhi bolta hai.

(7) Isme aapko agree policy me click karna hai.
(8) ab Create account par click kijiye aapka account ban jayega.

Ab aapka account banane ke baad aapke Email address me ek verification mail aayega usme aap us link me click karke apna Email address verify kijiye.

To friends kaamna karta hun ki aap paypal me account banana jan gaye honge. Agar aapko paypal account banane me koi dikkat aa rahi hai to comment box me aap apna sawal puch sakte hain. aapke sawal ka reply jarur milega. Sath hi sath agar aapko ye post aachi lagi hai to niche diye hue sharing button se aap ise share bhi kar sakte hain.

Thank you


Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

5 comments:

  1. Sir mujhe bhi aapke jaise blogging site banana hai kya ye mobile se operate Ho sakta hai

    ReplyDelete
  2. Contact number chahiye aapka mujhe kuchh aur jankari chahiye

    ReplyDelete
  3. Haa aap bilkul bana sakte ho lekin iske liye aapko computer ki jarurat padegi sirf mobile se aap site nahi chala sakte..
    Trickycenter ka whats app number jald me post karne wala hun blog padhte rahiye agar koi sawal ho to use comment ke jariye puch sakte hain..

    ReplyDelete
  4. Bhai ye batao ki mere blog www.achhihelp.com ka traffic kese increase karu..

    ReplyDelete
  5. Sabse pehlw to aap apna template change karo kyunki jab tak aapka blog aacha designed nahi rahega to traffic kaise badhega...

    ReplyDelete

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us