Kaise banayi Mark Zuckerburg ne Facebook

Mark Zuckerburg ek aisa naam hai jisse aisa koi nahi hoga jo nahi jaanta hoga, kyunki Mark Zuckerburg world ki No 1 Social Networking Facebook ke Founder hain.

Kaise banayi Mark zuckerburg ne Facebook

 Mark Zuckerburg ka birth 14 May 1984 me White plains, New York  me hua. Mark ne Facebook apne college Hostel ke ek room me banaya tha jo aaj duniya me sabse jayada use karne wali social networking site ban chuki hai.


Website(blog) kaise banate hain ??
Internet se ghar baithe paisa kaise kamayein

Primary School se hi Mark Zuckerburg ka Interest computer aur program me tha. Jiska result Mark ne 12 saal me Atari Basic ka use karke ek messaging program banaya tha aur use "Zucknet" ka naam diya. Mark ke Father ek Dentist the to unhone is program ka use apne Dental Clinic me patient tak news pahuchane me use karte the. Mark ka Zucknet program unke ghar me baat chit karne ke kaam me aata tha. Baad me Mark ne apne friends ke saath me mil kar Entertainment ke liye ek computer game bhi banaya. Itna hi nahi Mark ne apne Higher Secondary School career me mp3 player bhi banaya.


2003 me Mark kuch naya karna chahte the to unhe "Facemash" ke baare me khayal aaya aur unhone howard ka database hack kar liya. Jisme sabhi howard ke students apna Photo upload karte the. Unhone aisa program banaya Facemash me jisse ki 2 Female photo me se kaun jayada beautiful hai iski voting hoti thi. Kuch hi din me Facemash me traffic bahut jayada badhne lag gayi jiske karan Facemash crash bhi hua. Site me Jayadatar log Howard ke students the.

Facebook, Twitter bina Internet kaise use karien
Top 7 tarike facebook account hack hone se kaise bachayein


Howard database hack karne ke liye Mark ko Howard ke commitee members ne bahut kuch bura bhala sunaya lekin kisi ne yeh nahi dekha ki Mark ne itne kam samay me itna bada kaam kar liya .

Facebook Ka Banna 

Ab Mark ke sabse bade project facebook ki baari thi. Sabse pehle Social Netwoking site banane ka Idea Divya Narendra ne diya. Divya Narenda twins tiler aur Cameron winklevoss ka parter tha.

Divya narendra ne Mark ko Howard connection naam ka social site banane ke liye suggest kiya, aur mark iske liye tayayar ho gaye. Aur Howard Connection naam ke social site me kaam karne ke samay Mark ko Facebook naam ki khud ki site banane ka vichar aaya. Aur is vichaar ko aaghe badhane ke liye unhone facebook.com ko register kara liya. Jisse aaj world ki No 1 social networking site se pehchana jata hai. Mark ne ye kaam apne friend Eduardo Servin  ke sath banane ka Plan banaya. Aur Facebook Project ki saari Investment Eduardo Servin ne hi kiya.


Jab Facebook me traffic badhne laga to Mark ne kuch naye programmers ko kaam me lagaya jo website me aachi tarike se kaam kar sakein.

Ab tak mark ke 503.6 million shares the aur sath hi sath unka apni company me 60% ka vote the, Eduardo Servin ke 35% aur 5% baki Investors ke the.

facebook pure USA me famous ho gaya. Mark specially Facebook website apne students ke liye banaye the. Isliye USA ke saare School aur Colleges me Facebook bahut jaldi famous hogaya. Facebook me bahut jaldi traffic badhne se Ek bahut badi company Yahoo ne Facebook company ko kharidne ka offer diya. Yahoo ne 900 million Us dollar ka offer mark ko diya. 900 million dollar bahut hi badi Income hai lekin phir bhi mark ne ye rakam reject kar diya.

Blogger me template kaise change karte hain
Blogger me custom domain kaise add karein

Kyunki veh ise khud manage karna chahate the. Dhire dhire Facebook aaghe badhne laga aur ab duniya ke har kone me facebook pahunch chuka hai.

Mark Zuckerburg ka passion aur kaam karne ki lagan unhe Social Networking ka Hero bana diya. Mark duniya me Youngest Billioniors bhi kehlate hain. Kyunki unhone itne kam samay me apne kaam ko acchieve kiya jo bahut hi mushkil hai.

Friends to ye thi mark zuckerburg ki success story. Ye story aapko kaisi lagi comment karke jarur batayein. Aur agar aapko ye aachi lagi to ise niche diye hue sharing button se share kar dijiye.

Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

6 comments:

  1. Domain change nahi karuga . Apne adsence ke liye apply kayo nahi kiya

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks for comment sandeep vaise aaj hi maine adsense ke liye apply kiya hai..

      Delete
  2. Nice website bro.. Ads ke liye try kro..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks dev adsense ke liye aaj hi apply kiya hu...

      Delete
  3. Sir aap ne jo wbsite banayi hai ye dekhne me english me hai aur padhne me hindi me hai .. Lekin adsense account banate wakt websit ki language puchta hai aapne ksun se lnguage ..select ki thi

    ReplyDelete
  4. Ji maine adsense account banate samay English language ko select kyunki mera text English me hai or isse website me koi problem nahi aati hai bro
    Vaise thanks for your comment bro..

    ReplyDelete

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us