Google search console me sitemap kaise submit karein ??

Hello friends aapko mere pichle post se ye to pata hal gaya hoga ki google search console blog ke liye kitna jaruri hai.

Google search console me sitemap kaise submit karein

Aaj me aapko Google search console me sitemap kaise submit karte hain vo bataunga, usse pehle aap meri purani post padh lijiye.
Google search console me blog kaise add karein ??


Sitemap submit karne se pehle aapko apna blog google search console me add karna hoga. Jaisa ki aap sab jante hain ki google search console se blog ko Index hone me kitna help milta hai.

India ka sabse sasta phone less than Rs 500
Paypal account kya hai or paypal account kaise banate hain ??


Google search console aapke blog ko jaldi google me dikhane ke sath sath agar aapke Blog me koi error hai to vo bhi Google search console message karta hai.

Sitemap kya hai ??

Sitemap word se aap ye to samajh chuke honge ki ye kya hai, Actually Sitemap mein aapke Website(blog) ki details hoti hai. Sitemap Google, Yahoo, etc jaise search engine me hamare Website(blog) ko  laane me help karta hai. Jab bhi ham koi post likhte hain to jaruri nahii hai ki vo search engine me show ho jaye, lekin aapko ye to pata hoga ki google ek sabse bada search engine hai to google search console hamare post ko search Engine me show karne me help karta hai.
Jaisa ki maine bataya Sitemap me aapke Website(blog) ki saari jankari hoti hai to aap ise apne blog me Sitemap ka page banakar show bhi kar sakte hain.
Blog ke liye sitemap kaise banate hain ??

 

Google Search console me Sitemap kaise Submit karein ??

Google search console me sitemap submit karne se pehle aapko apne Blog ka site map banana hota hai.
Website(blog) kaise banate hain ??
Internet se ghar bethe paisa kaise kamayein
Youtube se video banakar paisa kaise kamayein..

Google search console me Sitemap submit karne ke liye ye steps follow kijiye :-

Step 1# Sabse pehle Google search console ki site me jayein.
Step 2# Google search console me aapko apne jis blog ka sitemap submit karna hai usme click kijiye.

Google search console me sitemap kaise submit karein

Step 3# Ab aapko left side ka menu bar dikh raha hoga usme aapko Crawl>>Sitemap ka option milega usme click kijiye. Click karne ke baad aapke saamne ek naya page khulega. Aapko top me ek option dikh raha hoga ADD/TEST Sitemap, Usme click kijiye.

Facebook, Twitter bina internet use kaise karein..
Top 7 tarike facebook account hack hone se kaise bachayein ..

Step 4# Ab aapke saamne ek box aayega usme aapko apne sitemap ka URL dalna hai. Agar aapne sitemap bana liya hai to aap simply us box me sitemap.xml daliye aur submit sitemap me click kar dijiye.

Ab aapka sitemap successfully submit ho chuka hai, aap google search console regular check kijiye ki aapke kitne post index hue. Agar sitemap submit karne me koi error aaye to puri process phir se kijiye aapka sitemap jarur submit hoga.

Agar aapko is post se related koi bhi sawal puchna ho to use aap comment ke jariye puch sakte hain. Aapke sawal ke jawab aapko jarur milenge. Aur agar ye post aapko acchi lagi ho to ise niche diye hue sharing button se share kar sakte hain.
Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us