Computer screen ki recording kaise karein ???

Hello friends jab ham kisi video tutorial ko banane ki baat karte hain to hamare man me 1 baat jarur aati hai ki kaise computer screen ki video banate hain ?? Isiliye aaj me aap sabhi ko computer screen ki video banane ke baare me bataunga.

Computer screen ki recording kaise karein ???

Aap sabhi jante hi honge ki aaj kal log internet par videos dekhna jayada pasand kate hai
Maine apni pichli post me youtube se paisa kamane ke baare me bataya tha, aap chahe to use padh sakte hain Youtube se video banakar kaise paisa kamayein ??

Agar aap koi video tutorial banana chahte hai jisme aap apne computer screen ka video banakar use karna chahte hain to aap ise free me kar sakte hain ek software ki help se, Aap is software ki help se jitne chahe utne videos bana sakte hain.

Aap jis software se free me apne computer ki screen record karna chahte hain us software ka naam hai Camstudio.

Facebook, Twitter bina internet kaise use karein ??
Internet se ghar bethe paisa kamane ka sabse aasan tarika.

Aap is software ki madad se free me computer screen ki video bana sakte hain sath hi sath aap isme apni sound bhi record kar sakte hain.

Camstudio Software kaise download karein ??

Camstudio software download karne ke liye sabse pehle aap Camstudio ki site par click kijiye ab aapke saamne ek screen khulegi usme aapko download button par click karna hai.
Click karte hi apka Camstudio software download hona shuru ho jayega. Jaise hi software download ho jaye use install kar lijiye. Software install karne ke baad use open kijiye, aapka camstudio software successfully download or install ho jayega.

Camstudio software se video kaise banayein ???

Camstudio se video banane ke liye sabse pehle camstudio software ko open kijiye.
Aapke saamne kuch aisa screen khulega

Camstudio www.trickycenter.com

Isme jo red button hai vo record ka button hai iski madad se aap screen record kar payenge.
Red dot ke baju me pause ka button hai agar aap video kahin bhi pause karna chahte hain to vo bhi aapkar sakte hain.
Pause button ke baju me stop ka button hai agar aapka screen record ho gya hai to stop par click kijiye aapka video ban jayega.

Khud ka mobile number janne ka tarika
Website(blog) kaise banate hain ??

Aap isme bahut se size ka video bana sakte hain, aap chahe to full screen size ka bhi video bana sakte hain. Iske liye aapko Region>>full screen me click karna hoga jisse ki aap full screen record kar payenge.

Note - Jab aap stop button me click karenge to aapka video ban chuka hoga ab bas aapko us video ko kisi location par save karna hoga.

Agar aap video ka format change karna chahte hain to aap star button par click kijiye camstudio 3 video format ke video banata hai AVI, SWF & MP4 aap star button me click karke video ka format change kar sakte hain.

Audio kaise record karein ??

Aap computer screen ki recording ke sath sath  audio bhi record kar sakte hain. Lekin iske liye aapko headphone(microphones) ki jarurat padegi.
Audio record karne ke liye sabse pehle headphones(microphone) slot me jack daliye. Uske baad camstudio ke software ko open kijiye.
Camstudio me aapko Option>>record audio from microphone click kar lijiye ab aap computer screen recording ke sath sath apni awaaz bhi record kar payenge.

Limited time ka video kaise record karein ??

Agar aapko limited time ka video record karna hai jaise ki for ex - aapko 120 sec ka video banana hai to aap timer set kar sakte hain jisse ki video automatically stop hi jayega 120 sec me.

Camstudio www.trickycenter.com

Iske liye aap sabse pehle camstudio me jakar option>>Automatically stop recording par click kijiye ab aapke saamne ek option hoga jisme aapko timing set karna hai aur stop recording after a period of me click karke ok karna hai.

Email Id kaise banate hain ??
Blogger me template kaise change karein ??

Ab jo bhi aapka limited time hoga usme aapka video automatically stop ho jayega.

Ab to aap samajh chuke honge ki computer screen ki recording karna koi mushkil kaam nahi hai ise koi bhi kar sakta hai. To ab unlimited recording karke video banaiye or Youtube me upload kijye aur usse bahut saare paise kamaiye. Aur agar aapko is post se related koi bhi sawal ho to use bhi aap comment ke jariye puch sakte hain. Maine iss software ko bade mushkil se khoja hai to please ise share karna na bhoolein, niche diye hue sharing button ki help se ise aap share kar sakte hain.

Thank you

Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us