Bidvertiser se paisa kamane ka tarika

Hello friends jaisa ki maine aap sabhi ko apni pichli post me bataya tha ki kaise Website(blog) banakar paisa kamayein. Agar aapne vo post nahi padha hai to 1 baar vo post padh lijiye to aapko idea ho jayega ki kaise website(blog) banakar paisa kamate hain. Usme maine adsense ke baare mein bataya tha ki adsense se ham paisa kama sakte hain ads lagakar apne blog me lekin bahut se karan ki wajah se adsense jaldi approve nahi hota isliye mai aaj aapko Bidvertiser se paise kamane ka tarika bataunga.


Bidvertiser kya hai ???

Agar aap bidvertiser se paisa kamana chahte hai to aapko sab se pehle iske baare me puri information hona jaruri hai. Bidvertiser 1 advertisement company hai jisse ham hamare website(blog) me ads lagakar paisa kama sakte hain. Agar aapka adsense account approve nahi hua to sabse pehle apni website(blog) ka rank badhaiye or sath hi sath aap bidvertiser se paisa kamaiye.

Bidveriser me account banane ke liye kya chahiye ???

Bidvertiser me account banane ke liye aapko in chijo ki jarurat padegi :-

1# Website(blog)
2# Email address

Agar aapke paas website(blog) aur Email address nahi hai to ye post padhiye :
Website blog kaise banate hain
Email Id kaise banate hain ??

Agar aapne website(blog) aur Email id bana liya hai to aap bilkul ready hain bidvertiser se paisa kamane ke liye.

Bidvertiser me account kaise banayein ???

To ab baat aati hai ki bidvertiser mein account kaise banate hain, bidvertiser mein account banane se pehle main aap sabhi ko bata dun ki bidvertiser bahut hi accha advertisement network hai jisse ham website(blog) se paisa kama sakte hain.
Bidvertiser mein account banana bahut hi aasan hai aapka account isme turant ban jata hai bas aapko kuch steps follow karna hoga.

Step 1# Sabse pehle www.bidvertiser.com me jayein aur join Now its free me click kijiye.

Step 2# click karne ke baad aapke saamne 1 nayi screen khulegi usme aapko saare details daalne hai yaad rakhiye aap jo bhi details dalein vo correct hona chahiye.



First Name - Isme apna first name daliye.
Last Name - Is column me apna last name daliye.
Phone - Is column me apna mobile number daliye.
Email address - Is column me apna Email address daliye jo apne banaya hai.

Choose your user name - Isme aap apna user name daliye koi aisa user name hona chahiye jo bidvertiser me pehle se na ho, aap is user name ko yaad rakhiye isi se aapka account login hoga.

Choose your Password - Isme apna password choose kijiye jo min 8 characters ka ho.
Confirm Password - Is column me aap apna password phir se daliye.

Ab finally get activation code me click kijiye, bidvertiser aapko aapke Email address par activation code send karta hai, Aap apne Email address se activation code ko copy kijiye aur niche diye hue column me put kijiye, uske baad sari terms and policy me click kijiye aur continue kijiye.

Facebook, Twitter bina internet use karne ka tarika
Top 7 tarike facebook ko hack hone se bachane ke.

Congratulation aapka bidvertiser account ban chuka hai. Ab aap home page me sabse niche ke column me apna user name or password dalkar login kijiye, ab aapke saamne 1 naya page khulega usme aapko publisher center>>Manage bidvertiser>>Add new bidvertiser me click karna hai.

Jaise hi aap add new bidvertiser  me click karenge aapke saamne 1 naya screen khulega usme aapko add new bidvertiser under a new domain me click kijiye. Ab aapko apne Website(blog) ke anusaar information dalna hai :
Bidvertiser Title - Isme aapko apne website(blog) ka Title dalna hai.
URL of Website - Is column me aapko apne website(blog) ka url dalna hai.



3rd column me apne website(blog) ki category choose kijiye or finish button me click kar dijiye.
Ab aapke saamne aapke blog ka status dikh raha hoga not verified aapko usme click karna hai. Jaise hi aap click karenge aapko 1 code milega, aapko us code ko apne blog ke <head> file ke niche paste karna hai.
Or phir vapas bidvertiser me jakar verify button me click karna hai. Ab aap bidvertiser ka code apne Website(blog) me laga sakte hain.

Bidvertiser ka ads blog me kaise lagayein ???

Sabse pehle bidveritser me login kijiye uske baad aapke website ke niche choose template ka option dikh raha hoga usme click kijiye, Ab isme aap apne hisaab se apna template choose kar lein aapko jo bhi size ka ads apne blog me lagana hai.
Uske baad  update button me click kar dijiye ab aapko get ad code me click karna hai or jo ad code mile use copy karna hai.

Youtube se video banakar paisa kamane ka tarika
Blogger me custom domain kaise add karein ??

Ab aap us ads code ko apne website(blog) me kahi bhi show kar sakte hain. Aapko jahan bhi ads lagana ho vaha par add gadget me click kijiye or HTML java script ko choose kijiye or usme apna ads code paste kar dijiye or save kar dijiye. Aapke ads show hone chalu ho jayenge.

Bidvertiser se payment kaise lein ???

Bidvertiser se payment lene ke bahut se option hai jaise ki :
Paypal (Minimum 10$)
Payza (Minimum 10$)
Check (Minumum 100$)
Wire (Minimum 500$)
Aap in me se kisi bhi option me se payment le sakte hain. In mese paypal sabse best hai kyunki uski minimum payment 10$ hai isiliye.

Ab aap samajh gaye honge ki bidvertiser se kaise paisa kamaya ja sakta hai. Ab aap apne hisaab se apna ads banaiye aur apne blog se khub paisa kamaiye.
Aapko abhi bahut se sawal aa rahe honge, chinta mat kijiye aapka koi bhi sawal ho aap use niche diye hue comment box ki madad se puch sakte hain aap chahe to Contact us page me jakar conatact form me apne sawal bhi mujh se message ke through puch sakte hain, aapke saare sawalon ke jawab aapko jaldi mil jayenge. Ek baat or ki is post ko likhne me bahut mehnat hai to please niche diye gaye sharing button se aap isko Facebook, Twitter, Google + me share bhi kar sakte hain.


Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

8 comments:

  1. aapki website bahut acchi h or template bhi aapko meri website kaisi lagi www.rkbbusiness.com

    ReplyDelete
  2. Enter your comment...aapko meri website me sab kuch milega free net bhi or puri traning

    ReplyDelete
  3. Aapka bahut bahut dhanyavad..

    ReplyDelete
  4. Vaise aapka blog ka design bhi bahut aacha hai. Blogging se related saare tips ke aap is blog par padh sakte hain.

    ReplyDelete
  5. Bahot achhi jaankari di hai aapki post ne, thanks

    ReplyDelete
  6. Bidvertiser or infolinks me se konsa sabse behtar hai.


    Packers and movers

    ReplyDelete
  7. Bidvertiser me ads ki quality weak hai. Lekin bidvertiser se min 10$ le sakte hain. Isliye bidvertiser thoda aacha hai vaise aap infolinks bhi try kar sakte hain..

    ReplyDelete

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us