Adsense 2 - 3 Din Me Approve Kaise Karayein

Aap sabhi jante honge ki India me Adsense approve karna thoda difficcult hai new bloggers ke liye. Aur aap ye bhi jante honge ki adsense se bahut aachi income hoti hai compare to other advertisement network.
Isliye aaj me aapko apna adsense account 2-3 din me kaise approve karte hain vo bataunga, vaise maine bhi isi tarike se apna adsense account approve karaya tha.

Adsense 2 - 3 Din Me Approve Kaise KarayeinWebsite(blog) kaise banate hain
Internet se ghar bethe paisa kaise kamayein
Websiote(blog) se per day 50$ - 100$ kaise kamayein

Vaise abhi mere blog ko 1.5 month hue hain lekin maine is tarike se apna adsense account approve kara liya tha, Is post se mai aapko bhi isi tarike se adsense approve kaise karein uske baare me bataunga.

Adsense me application submit karne se pehle apne blog me ye pages hona bahut jaruri hai :-

1# Privacy Policy Page
2# About Us Page
3# Contact Us Page

Ye saare page aapko adsense jaldi approve karne me help karenge, kyunki ye sab pages jab adsense Team hamari site crawl kar ke dekhti hai to unhe hamare site par bharosa hota hai ki ye site koi spam site nahi hai or isse aapka adsense bahut jaldi approve ho jata hai.

Blog me contact us form kaise banate hain
Blog me template kaise change karte hain
Blog ke liye privacy policy page kaise banayein

Adsense me application submit karne se pehle koi bhi advertisement site se ads apne blog me mat lagaiye kyunki isse Adsense team ko aapke blog ko crawl karne me difficulty hoti hai jisse aapka application disapprove ho sakta hai.

Adsense 2-3 Din Me Kaise Approved karayein ??

Agar aapko 2-3 Din me adsense approve karna hai to ye streps follow kijiye aapka adsnese turant approve ho jayega :-

Step 1# Sabse Pehle aapko youtube me apna khud ka banaya hua 1-2 video upload karna hoga. Chahe vo kisi bhi topic par ho For Ex- Sports, Daily Soaps, Blogging, Socail Networking etc..
Aur aapko apna video monetize karna hai matlab ki aapko apne video me ads lagana hai don't worry kyunki Youtube ke videos se adsense ka approval turant ho jaata hai.

Youtube me video upload karke use monetize kaise karte hai puri jankari :-

Step 2# Video monetize karne ke baad apna adsense account apne youtube channel se connect kar dijiye phir thoda wait kijiye kuch ghanto me aapka adsense approve ho jayega lekin aap sirf apne adsense ke ads apne youtube channel me dikha sakte hain.

Adsense hosted account

Step 3# Adsense ke ads ko blog me dikhane ke liye aapko apna blog adsense account me connect karna hoga usse pehle aapke adsense account me hosted account ka notification aa raha hoga top me (iska matlab hai ki aap sirf adsense ke ads apne youtube channel me dikha sakte hain) Lekin aap chahein to apna blog adsense me coneect karke blog me bhi adsense ke ads show kar sakte hain.

Kaise banayi mark zuckerburg ne facebook
Facebook, Twitter bina Internet kaise use karein

Step 4# Adsense ke ads blog me lagane ke liye sabse pehle Google adsense ki site me jayein aur settings ke icon me click kijiye aapke saamne ek naya page khulega usme aapko Access and Authorization me click karna hai

Show ads on other website

Step 5# Ab jo nayi window khulegi usme aapko apne blog ka url dalna hai
Note - Aap apne blogger ka .blogspot wala domain nahi laga sakte aapko koi domain lena padega iske liye tabhi aap url add kar sakte hain.

URL dalke Submit ke button me click kar dijiye Adsense aapka account 2-3 din me review karke aapko mail karega phir jab aapko approved adsense account ka mail aa jaye to aapke ads show hona shuru ho jayega.
Lekin usse pehle aapko apne blog me adsense ke ads code lagane hain uske liye aap sabse pehle upar diye hue menu bar me My ads me click kijiye.

My ads New ad unit in Adsense

Step 6# Ab jo new window khulegi usme aap New ad unit me click kijiye aur apne hissab se aapko jo bhi ads apne blog me lagana hai use choose kar lijiye aur niche diye hue save button me click kar dijiye. Jaise aap save button me click karenge aapke saamne ek naya pop up windoe khulega usme aapko ads code dikhega usko copy kar lijiye.

Email Id kaise banate hain
Paypal account kya hai or paypal me account kaise banayein

Step 7# Ab apne blog me aapko jahan bhi ads dikhana hai vaha HTML section me jakar ye code paste kar dijiye.

Note - Jab tak aapke blog ka review complete na ho jaye aapko adsense ke blank ads dikhenge, jab aapka adsense account fully approved ho jayega aapke blog me ads dikhne shuru ho jayenge.

To doston is tarike se aapka adsense account approve ho jayega. Lekin agar kahin bhi aapko kuch pareshani ho to aap comment karke jarur bataiye aapke sawal ka jawab aapko jarur milega.


Location: Bhilai, Chhattisgarh, India

14 comments:

  1. Main domain lena hai par mera bank ka card nhi hai bro ab kya kru main mere mobole main balance 500 hai kya uss se liya ja sakta hai domain koi trika btayien

    ReplyDelete
    Replies
    1. Nahi mobile balance se nahi le sakte. Agar aapke paas card nahi hai to aap net cafe jao aur unhe bolo unke card se payment karne ko aur aap unhe paisa de dena.

      Delete
  2. Net caif kya hai sir visthar se btana

    ReplyDelete
    Replies
    1. Net cafe matlab jab kisi ke paas net nahi hoti hai to dukaan me net chalane jate hain na use internet cafe bolte hain agar aapke ghar ke paas koi dukaan hai jahan internet chala sakte hain vahan par aap unhe card se payment karne bol dijiye aur aap unhe paise de dena..

      Delete
  3. Hi Nitish,
    You are doing a great job. Making it easy for those bloggers who are not good in english. However, These these are great tips to get Adsense.
    Thanks for the share.

    ReplyDelete
  4. Bhai mere adsense me Information ki problem aa rhi hai .. Aur dono Account same hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mahaveer aap do adsense account nahi bana sakte ek account cancall kar do...

      Delete
  5. Kya adsense aproved karne ke liye DOMAIN lena jaruri hai ki apane blogspot wala jo domain hai us par bhi ho skta hai Aproved..... Please help me

    ReplyDelete
    Replies
    1. Nahi adsense approve karne ke liye domain lena jaruri nahi hai lekin agar aap custom domain use karte ho to adsense approve jaldi ho jata hai..

      Delete
  6. custom domain ka matlb kya hota hai...

    or mera blog link - http://shekharji.blogspot.in hai please check kar lijiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bahut aachga blog hai aapka aur custom domain ka matlab blog se blogspot ko hatakar koi bhi domain for ex - .com and .in domain

      Delete
  7. Sir bhut achi jankari di apne

    Maine adaence me apply kiye hua krib 20 din ho gye hai

    Kya mai ab apki trik use kr skta hu

    Maine about us, privicy policy or contact us sabhi page bnaye hua hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Adsense ke bahut se niyam kaanon hain jinhe follow nhi kiya to acount approve nahi hota
      aapko disapprove ka message aaya hoga usme kya likha hai btaiye tabhi me aapki help kar payenge...

      Delete

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us