Email id kaise banayein ???

Doston aaj internet ke uses bahut jayada badh gaye hain aur har kaam internet se hone laga hai aur iske liye hame internet se jude latest jankari se update rehna jaruri hai, isiliye aaj me aapko Email id kaise banate hain uske baare mein bataunga. Email id banane se pehle ye baat bhi jan lein :-

EMAIL ID KYA HAI???

Email id ek tarah se aapka address hai jis tarah aapka mobile number hota hai usi prakar Email id hai iski madad se ham kabhi bhi kisi ko bhi kisi bhi jagah mein turant message kar sakte hain. Vaise aap kahenge ki ham to mobile phone se bhi kisi ko bhi message kar sakte hain lekin Email id ke aur bhi bahut sare fayde hain jaise ki ham isse kisi bhi file ko attach karke bhej skate hain jaise ki maan lo aapko koi image kisi particular aadmi ko bhejna hai to aap isse Email ke through bhej sakte hain. To ab aap Email ke baare me thoda kuch jan gaye honge, ye post pura padhiye aapko Email se judi sari information mil jaegi. Aur agar aapko ye post aachi lage to isse share karna na bhoolein.

Email id kaise banate hain ????

EMAIL ID KE LIYE KYA JARURAT HAI???

Email id banane ke liye aapko in chijo ki jarurat padegi:-

  1. Computer ya mobile.
  2. Internet connection.
  3. Mobile number.
Padhai me concentrate kaise karein???
Blogger mein domain kaise add karein


EMAIL ID KAISE BANATE HAIN???

Ab sawal aata hai ki Email id kaise banate hain, aap kisi bhi site se Email id bana sakte hain jaise ki Gmail, yahoo, Outlook Ye sari sites aapko email service free mein deti hai.
Agar aapko Email id banana hai to mai recommend karunga ki aap gmail se hio banaye kyuki ye easy hai use karne mein aur iski service google deti hai to overall ye ek aachi Email service hai. Email id kaise banaye ye janne ke liye ye saare steps follow kijiye :-

  •  Email id banane ke liye sabse pehle Gmail ki website me jaiye usme aapko sign in karne bol raha hoga lekin uske niche create an account me click kariye to ek naya page khulega.
  • Ab jo page khulega usme aapko apne sare detail sahi sahi dalne hai. Aap isme sahi information hi daliye nahi to ho sakta hai aapka account block ho jaye.
                         Email id kaise banayein column..
  • Sabse first column me aap apna first name daliye uske just baju me aap apna second name daliye (surname).
  • Second column me aap apna Username daliye username matlab aapki Email id jisse log aapko contact karenge ye option aap apni marji se jo username aap chahe aap put kar sakte hain lekin jo username aapne dala hai vo available hona bhi jaruri hai maan lo aapne kisi name se username chuna to ho sakta hai ki us naam ka username kisi or ne bhi liya ho to aapka username agar available na ho to chinta na karein kyuki gmail aapko bohot sare username recommend karta hai to usme se chun lijiye.
  • Third column mein aap apna password daliye aap koi aisa password choose kijiye jo unique ho aur aapka password minimum 8 digit ka hona jaruri hai.
  • Fourth column me aap apna password verify kijiye matlab ki aapne jo password chuna hai vo phir se put kijiye isse error hone ke chances kam hain.
  • Fifth column mein aap apna Birth of date put kijiye dd/mm/yy is format me aapko apna birth date choose karna hai.
  • Uske baad vaale column me aap apna gender select kijiye.
  • Seventh column me aap apna mobile number daliye aap apna original number daliye means ki koi fake number mat daliye kyuki gmail aapko aapke number par message karta hai jisko aapko verify bhi karna hota hai.
  • Uske baad vaale  column mein aisa email address choose karna hai jo aapke paas pehle se hai agar aapke paas email id nahi hai to use blank rakhein.
  • Uske niche aapko bolega ki prove that you are not an robot usme aap jo code likha hua hai usko box me type kijiye aap chahe to phone verification bhi kara sakte hain uske liye upar vale button me click kijiye jisme likha hai skip this verification...
  • Location me India hi rehene dein, or niche i agree to terms of service and privacy policy me click kijiye, aur nextstep me click kijiye.
Ab next page me aapko apna photo dalna hai uske baad next button dabaiye phir aapka Email account ban jayega.
To ab aapne sikh liya ki Email id kaise banate hain, ab aap apna Email safely use kijiye. Ab Email id to aapne bana liya lekin use kaise use krein vo bhi me aapko bataunga.

Android phone ko kaise update karein

EMAIL KAISE SEND KAREIN??

Ab aapne successfully Email id banana sikh liya lekin use use kaise karein ye bhi sabse bada masla hai, Chinta mat kijiye mai aapko Email id se mail kese bhejte hain vo bhi bataunga. Email id se mail bhejne ke liye ye sare steps follow kijiye.
Gmail dashboard
  • Sabse pehle  Gmail ki site me jaiye aur apne username aur password se sign in kijiye, to aapke samne aapka account khul jaega.
    gmail se mail kaise bhejein??
  • Ab upar left side diye hue compose button me click kijiye.
  • Ab aapke samne kuch aisa screen khulega usme first column me to likha hoga ume vo mail id daliye jisko aapko mail bhejna hai.
  • Second column me subject daliye agar aapko dalna hai to nahi to ise blank rakh dijiye, Phir uske niche wale column me apna message type kijiye jo bhi aapko message karna hai, aur send button me click kijiye, aapka Email send hojayega. To ab aapne Email kaise send karna hai vo bhi sikh liya hai, ab aap kisi ko bhi kabhi bhi internet ke jariye kahin bhi mail kar sakte hain matlab ki message kar sakte hain.
Ummed karta hu ki aapko is post se aachi information mili ho, Aur agar ye post aapko acchi lagi hai to niche diye hue sharing button se aap isse share kar sakte hain.
Aur agar aapka is post se related koi bhi sawal hai to use bhi comment ke jariye aap mujhse puch sakte hain aapke saare sawalon ke jawab aapko jaldi mil jaega.

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Alexa Rank

Join with Us